Header Ads

Calcium ki kami hone ke lakshan kya hain?

Calcium ki kami hone ke symptoms in Hindi/Urdu.
Calcium haddiyo aur daanto ko banane aur uske maintenance ke liye, muscles ke sankoochan, heart beat ko niyamit karne aur blood clotting karne ke liye bahut jaroori hain.

Agar aap yeh samajhte hain ki aapko Calcium ki kami nahi ho sakti hain to aap galat hain. Aaj ke is samay mein Sirf budho ko hi nahi balki Jawan log bhi Calcium ki kami se joojh rahe hain. Junk food ke jyada sewan aur exercise na karne ki wajah se calcium ki kami dekhi ja rahi hain.

Calcium ki kami se Osteoporosis, Haddiyo ka kamjor hona aur toot jana, Daanto ka tootne jaisi problems ho jati hain.

Calcium ki kami ko janne ke liye blood test karwaye aur doctor se consult karke dusre lab test jaroor karwaye. Aaiye jante hain Calcium ki kami hone ke lakshan kya hote hain.

Calcium ki kami hone ke lakshan :-

○ Thakaan mahsoos hona :- Jab calcium ki kami ho jati hain to har waqt muscles mein pain rahta hain, jisse aapko thakaan mahsoos hoti hain. Kam calcium hone ki wajah se neend na aana, darr lagna, tension mein rahna aam baat hoti hain. Jis wajah se aap stress aur thakaan jyada mahsoos karte hain. Calcium ki kami hone ka lakshan yeh bhi hain ki aap hamesha thakey huye aur alasya se bhare huye nazar aayenge.


○ Haddiya Kamjor ho jati hain :- Calcium ki kami hone ka sabse pahle asar haddiyo par padta hain. Isse haddiya kamjor ho jati hain. Agar aapme Calcium ki kami ho gyi ho to haddiya asaani se fracture ho sakti hain. Muscles mein akadan aur pain hamesha bana rahta hain. Kai mamlo mein aapko recats naam ki bimari bhi ho jati hain.


○ Daant kamjor ho jate hain :- Calcium ki kami hone ka symptom yeh bhi hain ki aapke daant saaf nahi dikhayi dete hain. Calcium ki kami hone par daanto mein sadan ho jati hain. Agar chhote bacche mein Calcium ki kami hain to uska sabse pahla sanket yeh hain ki uske daant kafi der baad nikalte hain.


○ Teen girls mein period problems :- Calcium ki kami hone par kishoriyo mein yauvan deri se aata hain aur calcium ki kami hone se periods mein bhi gadbadi ho sakti hain. Kai teen age girls mein periods ke pahle kafi dard bhi ho sakta hain.


○ Baalo ka jhadna aur kharaab hona ;- Sahi calcium ka dose na milne par baal buri tarah se jhadne lagte hain. Baalo mein hardness aur dryness aana ek aam baat ban jati hain.


○ Nakhoono ka tootna :- Nakhoon ko majboot banane ke liye calcium ki jaroorat padti hain. Agar calcium ki kami ho jati hain to nakhoon asaani se tootne lagte hain. Zara sa paani mein nakhoon daalne se yeh asaani se beech beech mein tootne lagte hain.