Janiye Nicotine Replacement Therapy ke bare mein.
Tobacco mein Nicotine hota hain. Lagatar Tobacco ka istemal karne se hamare body ke kuch parts sensitive ho jate hain jis wajah se tambaku ya cigarette chhodna bahut mushkil ho jata hain. Isko chhudane ke liye Nicotine Replacement Therapy ka istemal kiya jata hain.
In NRT Chewing gum mein kam matraa mein nicotine hota hain aur dhuyein mein paye jane wale toxins isme nahi hote hain. NRT chewing gum ka aim saaf hain, yeh dheere-dheere nicotine ki matra ko kam karke nicotine ki latt ko door karna hain. Isme Nicotine ki matra kam hoti hain, Isliye tobacco ya cigarette chhodne ke baad iski latt lagne ke chances kafi kam hote hain. Nicotine therapy se tobacco ki latt aur Smoking chhodne ke chances 50 se 70% tak hote hain. NRT ke jariye smoking chhudane ke liye 12 hafto tak ka target rakhna chahiye.
Sirf NRT se hi smoking chhodna mumkin nahi hain. Isse sirf Nicotine ki craving kam hoti hain aur smoking chhodne par hone wali dikkato se nibatne mein madad milti hain.
Kisi bhi Nicotine product ko use karne se pahle doctor se salah jaroor leni chahiye. Khas karke diabetes patient, BP ke mareez , Cholesterol patient, Pregnant woman ya doodh pilane wali maao ko NRT shuru karne se pahle Doctor se salah jaroor le.
Post a Comment