Allergy kitni tarah ki hoti hain aur isse bachne ke tarike kya hain?
Jab hamari body kisi cheez ko napasand karti hain to usay Allergy kaha jata hain. Environment mein mauzood cheezo se sensitive insaan ko kabhi bhi allergy ho sakti hain. Allergy hone ki wajah family history bhi ho sakti hain. Agar aapki family background ya purani peedhi ki wajah se aapme allergy hone ki bimari hain to environment ke kuch cheezo ke contact mien aane par aapko allergy ho jayegi.
Jaisi ki paragkan (pollen), Dust, Dust Mite, fungus, medicine, food, beauty products, Keet, dhool aadi. Saans ki bimariyo mein jyadatar Allergen saans ke jariye jism mein daakhil hote hain. Kai mareezo mein allergen hone ka pata chal jata hain, lekin kuch mamlo mein inka pata nahi lag pata hain. Allergy ki chamadi jaanch ke jariye bimari paida karne wale allergen ko pahchana ja sakta hain.
Allergy hone ke lakshan (symptom) kya hote hain?
Allergen ka asar sabhi mareezo par alag alag hota hain. Body ke kuch parts par allergy ka zyada asar padta hain. Jaisi ki naak, aankh, chamadi, saans nali aadi. Aankho mein khujali hona, aankho ka lal hona, naak se paani aana, baar baar chhink aana, skin par chakatte padna, skin ka lal hona, baar baar khujali hona yeh sabhi allergy hone ke khas lakshan hote hain.
Allergy kitni tarah ki hoti hain ?
1. Pet ki allergy :- Kuch aise food kha lene ke baad allergy ho jati hain, jisse pet mein dard, dakaar aana, utli aur loose motion lagne jaise symptom paye jate hain.
2. Jukaam :- Allergy ki wajah se hone wale jukaam ka scientific naam Allergic rhinitis hain. Isme naak lal ho jana, baar baar chhinkna, naak se baar-baar paani girna jaisi problems ko jhelna padta hain.
3. Saans ki allergy :- Is tarah ki allergy mein mareez ke khasne, saans lene par seeti jaisi awaaz aur saans lene mein takhleef hoti hain.
4. Eczema :- Skin par allergy ka asar hone se baar-baar khujli hoti hain. Khujali hone wali jagah par baar baar khujali karne se vaha ki chamadi ka rang lal ho jata hain. Saare sharir mein daane dikhayi dene lagte hain. Yeh saare symptom haath-pair, gardan kanhi ho sakte hain.
5. Allergen :- Allergen ke contact mein aane ke baad kisi ko allergy ke lakshan turant to kisi ko kuch der baad mahsoos hote hain. Jyadatar logo mein naak bahna, Asthma ki preshani allergen ke contact mein aane ke baad turant shuru ho jati hain, usay jaldi reaction kahte hain. Kuch logo mein Asthma aur allergy ke lakshan allergen contact mein 4 se 8 ghante baad hote hain. Usay late reaction kahte hain. Der se huya reaction zyada khatarnaak hota hain. Allergen ke contact mein aane se normal jald aur der dono tarah ke reaction hote hain, allergic padarth jaise hi fefdo ya sharir mein daakhil hota hain to uski pahchan turant dushman ke roop mein ho jati hain.
6. Ped-paudho se allergy :- Yeh rog ped-paudho ke paragkan (pollen) aur fafoond ki wajah se hota hain. Is bimari mein chhink aana, khujali hona, aankh se paani aana, naak ka bahna, gale mein jalan aur asthma ho jata hain. Jisse mareez ki preshani jyada badh jati hain. Isme bukhaar nahi aata hain.
7. Khujali :- Skin par allergy ka yeh dusra roop hain, Jisme daane aur khujali paida ho jati hain. Sabse pahle chamadi mein sujan ko kar daane paida ho jate hain aur khujali hoti rahti hain. Yeh mooh, honth, aankh, jubaan, kaan aur pure sharir mein ho sakti hain.
Allergy se bachne ke tarike :- Ek research mein paya gya ki jo log rojana 2-3 cup coffee peete hain unme coffee na peene walo ke mukable allergy kam hoti hain. Scientific research mein yeh paya gya ki jo log allergy se preshan hain, vah agar din mein 2-3 cup coffee regular taur par peete hain to allergy 50% tak kam ho jati hain.
Haldi wala doodh bhi allergy aur usse hone wale asar ko rokne mein madad karta hain. Isliye jin logo ko allergy ki problem ho unhe daily doodh mein thodi si haldi daal kar jaroor peene chahiye. 10 se 15 din mein allergy se aaram milega aur allergy door hogi.
Allergy se bachaav karne ki tips :-
○ Phoolo ke paragkan se bache.
○ Agar allergy ke mareezo ko phoolo ko paragkan ki wajah se allergy hoti hain to unhe apne gharo mein ped-paudhe nahi rakhna chahiye.
○ Agar aapko allergy hone ki wajah ke baare mein pata chal jaye ki allergy kis wajah se ho rahi hain to usse bache.
○ Agar aapko pata hi nahi lag pa raha hain ki allergy hone ki wajah kya hain to medical test karwaye. Isse aapko allergy hone ki wajah ke bare mein pata chal jayega aur allergy paida karne wali cheezo ka istemal karna band kare.
○ Ghar mein kanhi bhi seelan aur fafoondi hain to usay turant khatm kare.
○ Asthma aur allergy ki wajaho se apna bachaav kare.
○ Agar khusboo ki wajah se allergy hoti hain to macchar baghane wale coil, Agarbatti, Chemical, Tez spray nahi lagana chahiye.
○ Jin mareezo ko allergy rahti hain, unhe apne naak par rumaal baandh kar rakhna chahiye.
○ Rajai, Gadde, takiye ke cover ko plastic cover mein rakhe.

Post a Comment