baccho ke smartphone par aise rakhe nazar.
Aaj kal har kisi ko Smartphone aur Tablet ki latt lag gyi hain. Smartphone ko bade to kya bacche bhi bahut pasand karte hain. Parent ki chinta ki wajah ban gye hain yeh smartphone. Kyonki parent ko hamesha yeh chinta lagi rahti hain, kanhi smartphone unke bacche ko bigaad na de. Is wajah se kai parents to apne bacche se smartphone tak chhin lete hain, kabhi unhe samjhane ke koshish karte hain. Lekin ab aapko yeh sabh karne ki jaroorat nahi hain. Kyonki baccho ke smartphone par kabhi bhi nazar ja sakti hain. Aaiye jante hain kaise apne baccho ke phone par nazar rakhe.
1. Block Apps :- Baccho ke smartphone par Non-Education apps ko block kar de. Jaise ki WhatsApp, Snapchat, Instagram aur Play store. Agar baccha zidd karne lage to in apps ko jaroorat ke samay hi baccho ko istemal karne de. Aur bacche ko in apps ko use karne ke liye ek limit aur ek time fix karde.
2. Prevent Sexting & Cyberbullying :- Massaging app par hone wali chat ko time to time check karte rahe. Agar Sexting aur Cyberbullying jaisi koi chat dikhayi de, to usay fauran block kare. Yaha yeh dhyaan rakhe ki bacche aisi buri aadato par bahut jaldi attract hote hain. Unhe bajaye maar ya daant ke pyaar se samjhaye, Kyonki maar-daant se vah baat nahi samajhenge, Balki pyaar se samajhayenge to vah samajh lenge. Baccho ke mann mein Pyaar paida kare. Kyonki agar aap baccho ko hamesha daantate rahte hain ya maarte hain to isse baccha ya phir bahut jyada ziddi ho jata hain ya bahut jyada dabbu kism ka ho jata hain.
3. Set time limit :- Apne bacche ke smartphone par ek time limit set karde. Yani ki raat ko sone ke time unke phone ko band karde, Padhai aur school time mein bhi bacche ko phone na de. Sabse aham baat yeh hain ki bacche ko phone uske haath mein sirf kuch time ke liye hi de.
4. Find out who :- Aapka baccha kisse aur kitni der tak talk karta hain, Iski jankari jaroor rakhe. Kabhi kabhi bacche parents ki darr ki wajah se kuch baatein share nahi karte hain aur galat dosto ke chakkar mein pad jate hain. Call block function se call limit ki jankari aapko rakhni chahiye.
5. Block porn & adult website :- Baccho ko hamesha porn aur Adult sites se door rakhe. Yeh baccho ke dimaag par bahut hi bura asar daalte hain. Parents web filter ki help se aisi websites ko block kar sakte hain. Jyadatar dekha jata hain ki bacche gharwalo se chhup kar Adult sites open kar lete hain, Jisse vah bahut jaldi bigad jate hain.
6. View complete web browsing history :- Web filter aur web browser ki madad se browsing history check kare. Isse aapko pata chal jayega ki aapka baccha kaun kaun si site ko access kar raha hain.
Post a Comment