Daanto ko healthy rakhne ke liye yeh 5 cheeze hoti hain faydemand.
Hum hamesha yahi sunte aaye hain ki hame aisi cheeze nahi khani chahiye, jisse daant kharab ho. Raat mein meetha kha kar kabhi nahi sona chahiye, kyonki isse daanto mein keede lag jate hain aur daant kharab ho jate hain.
Saara din waadi khana karne se masoodo mein dard hone lagta hain. Khane ki galat aadatein aapse aapke daanto ko door kar sakti hain, Isliye khane ki aadato ka sahi rakhna behad jaroori hota hain.
Isliye aapko ghabarane ki jaroorat nahi hain, Hamare khane peene ki aisi cheeze hoti hain jinhe khane se aapke daant ko majboot ban jate hain aur unki sensitivity bhi door ho sakti hain.
1. Til :- Til ko khana har tarike se faydemand hi rahta hain. Yeh daanto ko healthy banata hain aur daanto ko majbooti deta hain. Iske alawa daanto se Plaque ko door karne mein yeh madadgar hota hain.
2. Curry :- Indian Food mein Curry (Tari) ka sabse jyada istemal hota hain. Isme dher saare masale daale jate hain aur phir ise garma garm khaya jata hain. Yeh aise acid ka production karta hain, jisse daanto ke bacteria mar jate hain. Lekin yaad rakhe ise khane ke baad yeh daanto ke beech fasni nahi chahiye, varna daanto mein sadan hone ka khatra rahta hain.
3. Pyaaz :- Pyaaz health ke liye bahut hi jyada faydemand hota hain. Pyaaz mein aise gun paye jate hain jo sharir ke bacteria ko maar dete hain. Pyaaz khane ya phir pyaaz se bana khana khane se daanto mein cavity ki problem nahi hoti hain.
4. Dry fruits :- Dry fruits health ke liye sabse zyada labhkari hote hain. Ise sharir ke liye kisi amrit se kam nahi mana gya hain. Yah daanto mein nahi chipakte hain, Lekin iski meethas ki wajah se daanto mein rahne wale bacteria ise khate hain aur acid paida karte hain. Isliye jyada matraa mein sukhe mewe nahi khane chahiye. Lekin inhe khana bhi jaroori hain. So ek limit mein inhe khaye aur healthy rahe.
5. Achaar :- Achar ko khane se jaha kai fayde hote hain, vahi ise jyada khane se nuksan bhi hote hain. Isse aapko acidity aur gastric ki problem se joojhna padta hain. Achar mein sirka pada hota hain, Jis wajah se daanto mein peelapan nahi hone deta hain aur daanto par jamne wali gandi parat ko nikaal deta hain.

Post a Comment