Header Ads

Garbhpaat hone ke lakshan. Symptom & Signs of Miscarriage in Hindi/Urdu.

Symptoms & signs of  Miscarriage in Hindi/Urdu.


Jab koi lady pregnant hoti hain to vah imagine bhi nahi karti ki  uska  garbhpaat yani ki miscarriage ho. Lekin kai baar laparvaahi ya anjane mein hi miscarriage ho ho jata hain. Aaj hum miscarriage (garbhpaat) hone ke kuch lakshano ke bare mein bayanege.

Garbhpaat hone ki kai reason ho sakte hain, Jaise Smoking, Sharab peena ya garbh nirodhak medicine ka zyada sewan karna. Miscarriage mein  mahila ke sharir se kuch bhroon ka hissa aur bacche ke aas-paas ka liquid padarth bahar nikal jata hain. Zyadatar  miscarriage pregnancy ke 16th week ke andar hi ho jata hain. Kai baar garbhpaat andar hi andar ho jata hain aur pregnant woman ko iske lakshan ke bare mein pata bhi nahi chalta hain. Zyadatar miscarriage abnormal chromosome ki wajah se hote hain. Yani ki yeh kaha ja sakta hain ki  yeh problem genetic hoti hain. 

High Blood pressure, Diabetes, Kidney ki problem, Uterus mein abnormality hona aadi garbhpaat ke symptoms hote hain. Cervical ki problem pregnancy ke dusre hafte mein apan asar dikha sakti hain. Kisi aurat ko kai baar garbhpaat ho sakta hain. 

Miscarriage mein bhroon ki dhadkan puri tarah se panpane se pahle hi garbh mein rook jati hain. Aam taur par garbhpaat pregnancy ke 16th week se pahle ho jata hain. Agar miscarriage apne aap hota hain to uske kuch sanket pahle se hi mil jate hain. Zyada bleeding hona bhi miscarriage ka sanket hota hain. Agar pregnancy mein vagina se khoon aata hain ya phir pet ke nichle hisse mein dard hota hain aur peshab karne mein dard mahsoos hota hain, to yeh garbhpaat hone ke lakshan ho sakte hain. Saath hi  White aur pink color ka discharge, weight loss hona, breast ka hard hona, matli aana is baat ke sign hote hain ki aapka garbhpaat (Miscarriage) hone wala hain. 

   
Garbhpaat (Miscarriage) ke sanket aur lakshan (Symptoms & Signs of Miscarriage in Hindi/Urdu) :- 

♦ Bhroon ki heart beat rate aur movement mein kami aana bhi miscarriage ka sidha sanket dete hain. 

♦ Kai baar pregnant aurat ko malaria jaisi koi bimari hone se, hone wale bacche ko khatra rahta hain. Lekin is bimari mein agar mahila pet ke bal gir jaye to aise mein miscarriage hone ki sambhavna kafi zyada hoti hain. 

♦ Aam taur par mukhya lakshano mein yoni se khoon bahne lagta hain ya phir pet ke nichale hisse mein achanak bahut tez dard hone lagta hain. Halanki shuruvaat mein bleeding jyada nahi hoti hain, lekin dheere-dheere yeh bahut zyada hone lagti hain. 

♦ Oon aurato mein miscarriage hone ki sambhavna jyada rahti hain, jo bimaar rahti hain ya phir unka pahle bhi miscarriage ho chuka ho. 

♦ Adhura garbhpaat  tab hota hain jab bhroon ka koi hissa garbh mein rah jata hain. Pregnancy ke teesre ya chauthe mahine mein hone wala garbhpaat aksar adhura hi rahta hain. Adhure garbhpaat mein bleeding lagatar jaari rahti hain, aur  garbh mein bach gye tissues mein infection hone ka khatra bana rahta hain. Jisse bukhaar aur pet dard bhi ho sakta hain. 

Gabhpaat  ke sanket yeh bhi hote hain :

◘ Breast ka hard ho jana. 
◘ Peeth ke lower part mein pain aur pet mein ainthan hona.
◘ Pelvic area mein ainthan.
◘ Yoni se bhoore rang ka khoon bahna. 
◘ Vagina se khoon ke thakko ka nikalna.
◘ Pregnant woman ke kamar mein dard hona. 
◘ Bacche ka pet ke neeche khisak jana. 
◘ Pregnancy ke lakshano ka na hona ya phir achanak se band ho jana. 

Pregnancy damage, adhura garbhpaat se bachne ke liye pregnancy period mein pregnant ladies ko extra dekh-bhaal karni chahiye. Jaise  hi miscarriage ke koi lakshan ya takhleef hone lage to turant doctor se contact karna chahiye, Jisse miscarriage ko roka ja sake.