Janiye Typhoid Bukhaar kya hota hain.
Typhoid bukhaar ek janlewa bukhaar mana jata hain. Yeh Salmonella typhi bacteria ki wajah se hota hain. Typhoid ko Antibiotic medicines ke sewan se roka ja sakta hain. Antibiotic dawaayian kha kar typhoid ka ilaj kiya jata hain. Typhoid ko miyaadi bukhaar bhi kaha jata hain. Typhoid hone ka khatra kisi infected aadmi ka jootha khane peene se bhi ho sakta hain ya phir gande paani ya unhygienic food khane se bhi ho sakta hain. Jante hain Typhoid ke bare mein.
• Aamtaur par dekha jata hain ki typhoid bukhaar mein 102 degree Celsius ke upar bukhaar rahta hain aur sharir bahut zyada kamjori mahsoos karta hain.
• Typhoid aam taur par 1 mahine tak hota hain, lekin zyada kamjori hone par zyada waqt tak bhi rah sakta hain. Isse sharir mein bahut zyada kamjori aati hain. Jisse mareez ko normal hone mein bahut waqt lag jata hain.
• Bado mein kabz aur baccho mein dast ho sakta hain. Aanto mein infection hone ki wajah se har body part mein infection ho sakta hain. Jisse kai dusri infection wali bimariyo ka badhne ka khatra hota hain.
• Aanto mein zakhm ya ulcer ke phatne se operation ki haalat ho sakti hain. Typhoid ko test karne ke liye potty ka sample ya khoon ke sample mein Salmonella Typhi ki jaanch ki jati hain.
Haalanki typhoid bukhaar par asaani se kaabu paya ja sakta hain, lekin yeh janlewa bukhaaar hain. Khan-paan, saaf-safai ka dhyaan rakh kar typhoid bukhaar se bacha ja sakta hain.
Typhoid bukhaar kya hain (What is Typhoid fever in Hindi/Urdu) :-
♣ Salmonella Typhi Bacteria insaano mein hi paya jata hain. Typhoid ke mareez ke khoon aur dhamniyo mein Typhoid bacteria rahta hain. Salmonella typhi bacteria dooshit paani se nahane ya phir is kharab paani mein kisi khane wali cheez ko dho kar khane se phail sakta hain.
♣ Typhoid bukhaar zyadatar dooshit khane aur dooshit paani se hota hain. Typhoid ke symptoms mein fever hona, lagatar body ka temperature badhna ya ghatna important symptoms hote hain. Aise hi Typhoid ke aur bhi kai dusre lakshan hain.
Thyphoid Bukhaar ke lakshan :-
• Pet mein dard, bhookh na lagna aur seer dard iske aam lakshan hote hain. Iske alawa susti, kamjori mahsoos hona aur ulti aana bhi ahem lakshan hote hain.

Post a Comment