Periods ke time heavy bleeding ko rokne wale upyogi gharelu nuskhe aur upay.
Jyadatar ladies mein periods ke time kafi heavy bleeding hoti hain, Jiski wajah se unke sharir mein khoon ki kami bhi ho jati hain. Is problem se nijaat paane ke liye agar aap bhi hormonal medicines leti hain, to uski bajaye aap kuch asardaar gharelu nukshe aur upay apna sakti hain.
Agar aapne is problem ko ignore karna shuru kar diya to aap anemia, mood swing, thakaan aur yaha tak ki cervical cancer ki bhi aap shikaar ho sakti hain.
Bahut zyada bleeding ki kai saari wajah ho sakti hain, Jaise hormonal unbalance, fibroid, Pelvic mein sujan, Thyroid etc. Lekin aapko koi dusri bimari bhi nahi hain aur aapko bahut jyada bleeding hoti hain, to uski wajah medicines ho sakti hain.
Agar aapko in gharelu ilaj se koi fayda nahi ho raha hain aur bleeding 7 days se zyada ho rahi hain to turant ladies doctor ke paas jaye.
1. Aloe Vera juice din mein 2 baar piye. Isse kafi aaram milta hain.
2. Dalchini ke tukade ko khaulte huye paani mein daal kar piye. Ya phir dalchini ka tincture bhi din mein 2 baar, 3 drop le sakti hain.
3. Mooli badi hi asaani se khoon ko jamati hain. Mooli pakaate waqt, Isme mooli ke patte bhi jaroor daale. Is sabzi ko periods ke waqt jaroor khana chahiye, Jisse blood flow control mein rahta hain.
4. Period ke time aapko Omega-3 wali cheeze jaroor khani chahiye, Yeh aapko fish oil, alsi ke beej mein mil jayega. Yeh heavy bleeding ko kam karne mein kafi asardaar hote hain.
5. Hari sabziyo mein Vitamin K hota hain, Jo khoon ko jamne mein madad karta hain. Isliye jab jyada bleeding ho to, apni diet mein dher saari hari pattedar sabziya jaroor shamil kare. Khas karke Broccoli ko apni diet mein jaroor shamil kare.
6. Aap adrak ko paani mein ubaal kar kadha bana kar bhi pee sakti hain. Iske taste ko accha karne ke liye aap isme shakkar ya shahad bhi mila sakti hain. Ise din mein 2 ya 3 baar khana khane ke baad piye. Yeh bhaari bleeding ko rokne mein madad karta hain.
7. Imli mein Fiber aur Anti-Oxidants hote hain jo khoon ko jama dete hain aur zyada bleeding ko hone se rokte hain. Agar aapko lage ki bleeding bahut zyada ho rahi hain to imli ka ek tukda jaroor kha le. Maasik dharm mein jyada khoon aane se bachne ka yeh accha upay hain.
8. Aadhe glass garm paani mein mutthi bhar saunf ko bhigoyiye. Phir is paani ko saunf samet khali pet pee lijiye.
9. Papita ko period hone ke liye istemal kiya jata hain. Lekin kacche papite ke sewan se Period ke dino mein jyada blood flow nahi hota hain. In dino mein aap kacche papite ke 2 pees kha sakti hain.
10. Apni diet mein jyadatar Vitamins aur Minerals jaise Magnesium, Iron aur Calcium wali cheeze shamil karni chahiye. Diet mein dher saari khatte phal aur hari sabziya khaye.
11. Is samay Karele ki sabzi khane se kafi fayda hota hain. Karele ki sabzi kha kar aap heavy bleeding ko control kar sakte hain.
12. Vitamin C zyada khoon bahne se rokta hain. MC aane par aap Orange juice ko din mein 2 baar piye. Iske alawa aap khatte phalo ka sewan jaroor kare.
13. 40 gram raai ko pees kar powder bana le. 2 gram raai powder ko doodh ke saath din mein 2 baar khaye.
14. Amla ya amle ka juice, heavy bleeding ko rokne mein madad karta hain. Is juice ko din mein 2 baar peene se aap is problems se chhutkara pa sakti hain. Amla juice peene ke baad aap thoda sa namak jaroor kha le, Jisse aapka gala kharab nahi hoga.
15. Aadhe glass paani mein thoda sa saaboot Dhaniya ubaale. Jab paani halka thanda ho jaye to usay vaise hi pee jaye. Isse aapko kafi fayda hoga.
Post a Comment