Header Ads

Vitamin D ki kami hone ke lakshan.

Vitamin D ki kami ke lakshan. Symptom of lack of Vitamin D in Hindi/Urdu.

Vitamin D ki kami hone ke yeh hote hain lakshan. Sign & symptoms of lack of Vitamin D in Hindi/Urdu.

Khane wali cheezo mein Vitamin D bahut hi kam padartho mein paya jata hain. Aise mein aapko iski kami hone ka khyaal rakhna chahiye. Vaise to Vitamin D hamara sharir dhoop mein rahne se apne aap banata hain. Lekin aaj kal log dhoop mein rahna pasand nahi karte hain, Jisse sharir Vitamin D ki jaroorat ko pura nahi kar pata hain aur to aur khane peene wali aisi bahut kam hi cheeze hain jinme vitamin D paya jata hain.

Research se pata chala hain ki Vitamin D ki kami Adults mein sabse zyada payi jati hain. Kyonki yeh kami steroid hormone ki kami ki wajah se hoti hain, Kyonki yeh hormone suraj ki roshini se hame prapt hoti hain.

Aaj hum janenge ki Vitamin D ki kami hone ke lakshan kya hain? 

1. Wajan badhna ;- Kya aapko maloom hain ki Vitamin D Fat ko ghulansheel banane wala hormone hain? Is wajah se yeh wazan ko kam karne mein madad karta hain. Research se pata chala hain ki body ko fat observe karne ke liye Vitamin D ki jaroorat hoti hain. Isliye agar aapka motapa zyada badhne lage to samajh lijiye aapme Vitamin D ki kami bhi ho sakti hain.

2. Psoriasis :- Yeh ek kism ki skin ki bimari hain, jo vitamin D ki kami ki wajah se hoti hain. Dhoop senkne se is bimari ki roktham kiya ja sakta hain.

3. Seer se paseena nikalna :- Vitamin D ki kami hone se seer se paseena aata hain. Agar bahut zyada paseena aata hain to yeh neuromuscular irritability ka sign ho sakta hain. Yeh Vitamin D ki kami ke shuruvaati lakshan hain.

4. Haddi ka dard hona :- Research se pata chala hain ki Vitamin D ki kami se haddi dard, muscles mein pain, muscles mein cramp, Jodo mein dard hone lagta hain. Kyonki aisa suraj ki roshini mein na baithne ki wajah se hota hain. Vitamin D ki kami ki wajah se Calcium skeletal system tak nahi pahuch pata hain, Jisse haddiyo mein dard hota hain.

5. Mood badalne lagta hain :- Vitamin D ki  kami ki wajah se mood mein achanak se changes aane lagte hain. Vitamin D Serotonin hormones ka production karta hain, Jisse hamara mood  accha rahta hain. Serotonin ki kami se mood fluctuation ek aam baat hain.

6. Thakaan aur susti :- Body ko energy dene ke liye Vitamin D ki jaroorat hoti hain. Vitamin D ki kami hone par aap thakaan mahsoos karenge. Agar aapke saath bhi aisa hi ho raha hain to ise halke mein na le.