10 MB se kam size wale Best Android Games.
Kai baar zyada heavy games hone ki wajah se Smartphone ki speed, Data aur Memory mein bahut asar padta hain. Lekin Google Play Store mein kuch aise games bhi jinka size 10 MB se bhi kam hain, jinhe khel kar aapko accha lagega aur mazey ki baat yeh hain yeh Android games aapke Smartphone par bura asar bhi nahi daalte hain.
Free Best Android Games under 10 MB, Which are available on Google Play Store :-
1. Skater Boy (Size 7.5 MB) :- Is game mein aapko skating karni hoti hain. Isme aane wali rookavato aur hurdles ko aapko paar karna hota hain. Iske liye aapko jump ya slide karna padta hain. Is game mein speed par bhi kafi dhyaan dena padta hain. Yeh game Google play store se free mein download kiya ja sakta hain.
Skater Boy ko Download karne ke liye yaha click kare.
2. Bottle Shot :- Is game mein fingers ki help se bottle ko todna hota hain. Iski sabse badi khasiyat iski graphics hain. Yeh light game hote huye bhi 3D jaise iske graphics hain. Is game mein aap naye se naye High Score bana sakte hain. Yeh Game Google Play store mein free mein Download kare.
Bottle Shot 3D game download Link
3. Brain Age Test Free (Size 3.3 MB) :- Khali samay mein agar aapko apna IQ test karna hain to yeh game aapke liye best option ban sakta hain. Is game mein aapke performance ke basis par aapke dimaag ki umar test kiya jayega. Iske alawa is game mein aap apni short term memory bhi check kar sakte hain. Test ke results global scoreboard mein post kare aur usay dusre users ke saath compare kare. Is game ko Google Play Store se yaha click karke download kare.
4. Ant Smasher (Size 7.9 MB) :- Is game mein ants yani ki chhintiyo ko pakadna hota hain. Yeh sunne mein jitna asaan lagta hain, Utna asaan nahi hain. Yeh chintian idhar-udhar bhaag kar aapko bahut beat karti hain. Is game ko Google Play Store se Free mein yaha click karke download kare. Is ab tak 10 Crore se bhi jyada logo ne Download kiya hain.
5. Hill Climb Racing :- Is game ko pahado ke different raasto par gaadi ko chalana hota hain. Isme sadke ubad-khaabad aur unchi-neechi hoti hain. Gaadi ko chalate waqt aapko points collect karne honge. Iske alawa Fuel ko bhi jama karna hota hain, Kyonki fuel khatm hota rahta hain
Iske har level ko paar karne par mushkile badh jati hain. Unchaai se bike ya vehicle ko nikaalne ke bhi points milte hain. In points ki madad se aap Bus se lekar jeep, Tanker yaha tak ki Rail jaise vehicle chalane ke liye khareed sakte hain. Is game ko Google play store se Free mein download kare.
6. Racing Moto :- Racing game ke shaukin users ke liye yeh ek accha time pass ban sakta hain. Is game mein aapko traffic se bachna hota hain. Aap Speedometer ke jariye apni speed check kar sakte hain. Iske graphics kafi acche hain. Yeh ek motion sensor game hain. Yani ki aap apne mobile ko idhar-udhar ghuma kar Bike ke direction ko control kar sakte hain. Google Play Store se free mein ise download kare.
7. Snake ’97 : Retro phone Classic (Size 2.1 MB) :- Purane dino ki baat kare to Snake game ko kaun bhool sakta hain. Bhale hi aaj ke zamane mein Smartphone hone ki wajah se yeh game gayab ho gya hain. Lekin Android user ke liye yeh game abhi bhi Play Store mein mauzood hain. Halanki twist aur turns naye aur zyada behtar hain, Lekin control vahi purana hain. Isme 9 Original aur 3 extra level hain. Yaha click karke download kare.
Post a Comment