Header Ads

Baccho ki maalish karne ke liye 10 Best oil.

Best oil for Baby massage in Hindi/Urdu. Baccho ko kaun se tel ki maalish karni chahiye.
Baccho ke sharir mein Tel maalish karne se unki body majboot banti hain. Isliye chote baccho ki rojana tel se maalish ki jati hain, Taki vah healthy rah sake. Baccho ki maalish karne ke liye kai kism ke tel market mein mauzood hote hain, jinke bare mein alag-alag logo ki alag-alag raay hoti hain.

Hakikat yeh hain ki tel ki har boond bacche ke sharir mein taakat lekar aati hain, Uske sharir ko poshan deta hain. Is tarah bacche ki skin mulayam rahti hain, Uski skin ko extra moisturizer milta hain aur tel maalish karne se bacche ki haddiya majboot banti hain.

To aaiye jante hain chote baccho ko tel se maalish karne ke liye kaun sa tel accha rahega. Best oil for baby massage in Hindi/Urdu.

Baccho ki maalish karne ke liye 10 best oil :-


1. Sarso ka tel :- Bacche ki tel se maalish karne ke liye sarso ka tel sabse best hain. Sarso ka tel bacche ke liye kisi vardaan se kam nahi hain. Isse massage karne se body mein blood circulation sahi tarah se hota hain. Skin ko poshan aur body ko majbooti milti hain. Yeh zyada mahnga bhi nahi hota hain, aur har category ke log ise asaani se khareed sakte aur iska istemal kar sakte hain. Chhote baccho ki maalish karne ke liye sarso ka tel sabse jyada accha mana jata hain.


2. Badam ka tel :- Badam ka tel sirf bacche ke liye hi nahi har umar ke logo ke liye faydemand rahta hain. Isme Vitamin E bharpoor matra mein paya jata hain, Jisse sharir mein taakat aati hain. Isse skin sundar aur young bani rahti hain.


3. Olive Oil :- Jaitoon ke tel se sharir mein taakat aati hain. Agar baccha bahut zyada kamjor hain to olive oil se massage kare. Isse skin ko pura nutrients milenge aur kisi tarah ki papdi nahi jamegi, Jisse bacche ki skin par daane ho jaye.


4. Coconut oil :- Nariyal ke tel ko gari ka tel bhi kaha jata hain. Yeh tel, nazuk skin ke liye bahut hi faydemand rahta hain. Ise lagane se sharir ke infection aadi bhi door hote hain.


5. Til ka tel :- Agar aapke bacche ki skin khinch jati hain to til ka tel lagaye aur usi se maalish kare. Yeh tel massage karne ke liye kafi badhiya mana jata hain, Lekin yeh nakali nahi hona chahiye, varna aapke bacche ko nuksan pahucha sakta hain. Is tel ko lagane se sharir mein garmahat aati hain, Isliye is tel ka istemal sardiyo ke dino mein karna sahi rahega.


6. Arandi ka tel :- Arandi ke tel ke bare mein aap sabhi ne suna hi hoga. Yeh tel bacche ki tavcha ko nutrition deta hain aur skin, hair aur naakhoono ko majboot banata hain. Ine dry hone se bachata hain. Lekin ise bacche ki aankh aur honth par nahi lagane dena chahiye.


7. Chamomile oil :- Yeh navjaat shishu ki tavcha ke liye badhiya tel hota hain, Isme shishu ki skin ke liye sabhi poshak tatv mauzood hote hain. Ise lagane se bacche ki skin mein rashes nahi padte hain aur usay kisi bhi tarah ka infection bhi nahi hota hain.


8. Calendula oil :- Aapne Calendula ke phoolo ke bare mein suna hi hoga. Lekin kya aap iske tel ke bare mein bhi jante hain. Iske tel mein kai gun chhupe huye hote hain jo naazuk skin ki nami ko banaye rakhte hain aur usay majboot bhi banate hain.


9. Surajmukhi ka tel :- Surajmukhi ka tel aam taur par khana banane ke liye istemal kiya jata hain aur yeh skin ke liye puri tarah se safe hota hain. Isme Vitamin E aur Fatty acid hote hain jo sharir ko majbooti dete hain. Isse bacche ki skin ko poshan milne ke saath hi uski body ko bhi kafi fayda hoga.


10. Tea Tree oil :- Doctors ka manna yeh hain ki Chai ki patti se nikla tel jise Tea Tree oil kaha jata hain, veh bahut hi faydemand tel hain. Yeh natural hota hain aur Isme Antibiotic gun paye jate hain, Jo bacche ke liye kafi faydemand hote hain.