Header Ads

Flu ka upchar karne ke liye jaroor khaye yeh 10 Food.

Flu ke ilaj ke  liye jaroor khaye yeh 10 Food. Best food for Flu treatment in Hindi/Urdu.
Flu aisi bimari hain jo sehatmand insaan ko achanak se bed par daal deti hain. Isme aadmi ko tez bukhaar hone ke saath saath cough ki problem bhi hoti hain aur veh saara din so tak nahi paate hain. Flu ke waqt thakaan hona aur matli aana aam symptoms hote hain.

Flu ke mareez ko kam oil aur masale wala khana khana chahiye, Ghar ka khana hona chahiye aur yeh healthy bhi hona chahiye. Healthy food khane se mareez jald se jald theek ho jata hain. Flu ke patient ki body mein energy kam hoti hain, Isliye acchi aur healthy diet ka sewan karne se vah jaldi se theek ho jate hain. Healthy diet hi flu ka best treatment hota hain. Flu hone par kuch special food khane chahiye jo body ki immunity ko boost kare. Flu ke dauran hame kaun se khadya padarth khane chahiye, neeche bataya gya hain. .

Flu ke treatment (ilaj) ke liye jaroor khaye yeh food :- .


1. Turkey meat :- Turkey ke meat mein zyada protein aur thoda sa Fat hota hain, Jo body ko energy deta hain. Isliye turkey (Tittar) ka meat khane se flu mein kafi aaram milta hain.


2. Adrak wali Chai :- Adrak wali chai peena Flu ko door karne ka ek behatarin gharlu upay hain. Flu hone par Ginger tea peene se araam milta hain. Gale ki kharash, sardi, jukaam aadi ki problem hone par Adrak ki chai peene se rahat milti hain. Isme Flu virus se ladne ki shakti hoti hain.


3. Black Tea :- Black Tea mein Antioxidants bharpoor matra mein hote hain. Black tea peene se flu ke lakshan door hote hain aur gale ki kharash khatm hoti hain.


4. Banana :- Kela asaani se pach jata hain. Flu ke samay mareez ko doodh mein kela phent kar dena chahiye. Yeh asaani se pach jata hain aur patient ki body ko energy deta hain. Matli, thakaan aur ulti ki problem hone par Banana Shake faydemand hota hain. Doctor hamesha yahi kahte hain ki Flu hone par Kela jaroor khana chahiye.


5. Fruits :- Phal protein aur Vitamins ka natural source hote hain. Orange, Grapes, Banana aur Apple aadi khane se Flu ke duaran sharir ko taakat milti hain. Fruits ko khane se body dehydrate hone se bach jati hain. Flu mein sara din phal khaya ja sakta hain jo sharir ko fayda hi pahuchaate hain.


6. Soup :- Fresh vegetables aur chicken se bana hua soup flu mein bahut hi fayda pahuchaata hain. Isse body ko garmi aur energy milti hain. Vaise bhi Soup peene ke fayde bahut hote hain.


7. Juice :- Flu ka ilaj karne ke liye vegetable aur fruits dono ke juice bahut hi faydemand hote hain. Inme High protein aur aur kai dusre poshak tatv paye jate hain, Jo body ko energetic banate hain. Gajar, Tamatar, Berry aadi ka juice peene se flu se hone wali weakness door ho jati hain.


8. Salad :- Flu ke mareez ko khana khane ki bajaye ek plate Salad jaroor khana chahiye. Isse unki body ko taakat milti hain, unhe dher saara protein aur Carbohydrate bhi milega. Halki hari sabziyan jaise Kheera, Kakdi, Gajar aadi ka Salad bana kar khane se rahat milta hain.


9. Mint Candy :- Mint Candy flu ke dauran gale mein hone wali kharash ko door karti hain. Ise khane se body mein paani ki kami nahi hoti hain aur jeebh ka taste bhi badal jata hain. Flu ke dauran ise khane se mann badal jata hain.


10. Brown Bread aur Lahsun :- Lahsun mein aise gun paye jate hain jo flu se ladne ki shakti rakhte hain. Brown Bread mein protein ki quantity jyada hoti hain jo sharir ko energy dete hain. Isliye Brown bread aur Garlic ka combination body ko energy deta hain aur immunity ko badhaata hain taaki sharir acchi tarah se flu virus se lad sake.