Header Ads

Ghar mein banaye natural bleach aur paye gori skin.

Ghar par aise banaye natural bleach aur paaye gori (fair) skin. Natural bleaching tips in Hindi/Urdu.
Hamare chehre ki rangat par bahut si bahari cheeze apna asar daalti hain. Pollution, Suraj ki kirane aur chemical products se hamare chehre ki rangat par bahut zyada asar padta hain.

Chehre ki rangat ko vaapis paane ka sabse accha tarika hain, Bleach karana. Lekin kya aapne kabhi socha hain ki chemical bleach se skin par kitna bura effect padta hain? Market mein milne wale bleach se chehre par kuch waqt ke liye nikhaar to aa jata hain, Lekin isse skin ko bahut zyada nuksan hota hain. Aise mein accha yahi hoga ki aap natural bleach ka istemal kare.

Halanki market mein kai aise brands bhi hain jo yeh kahte hain ki unke bleaching product ka istemal karne se skin par koi side-effect nahi padta hain, Lekin is baat ka doubt hamesha bana hi rahta hain. Aap chahe to nikhari tavcha paane ke liye in gharelu bleach ka istemal karke kuch hi minutes mein gori tavcha pa sakti hain.

Homemade Natural Bleach in Hindi/Urdu. :- 

1. Dahi aur Besan :- Aap chahe to Dahi aur Besan ko mila kar chehre ki rangat ko nikhaar sakti hain. 2 Chammach Dahi mein 1 chammach Besan acchi tarah milaye. Yeh ek behtarin natural bleach hain. Phir ise apne chehre par apply kare. Jab yeh pack sookh jaye to chehre ko gungune paani se dhoye. Aapka chehra saaf ho jayega aur chehre mein ek nayi chamak aa jayegi.

2. Nimbu aur Shahad :- Nimbu aur Shahad ko barabar matra mein mila le. Is pest ko chehre par lagane se pahle chehre ko acchi tarah se dho le, phir is pest ko 15 minutes ke liye chehre par lagaye. Is face pack ko sookhne ke baad halke gungune paani se dhoye. Is face pack ko hafte mein 2 se 3 baar istemal karne se aapko best results milenge aur aapka nikhaar khil jayega.

3. Masoor daal aur Doodh :- Masoor daal ko paani mein bhigo kar kuch der ke liye chhod de. Phir aap isme kuch matra mein kaccha doodh mila le. Phir ise bareek pees le aur chehre par lagaye. Jab yeh face pack sookh jaye to chehre ko dho le. Kuch hi dino mein aapko apne chehre mein fark nazar aane lagega.