Header Ads

Ghar se cockroach bhagaane ke asardaar gharelu nuskhe aur upay.

Cockroach baghaane ke gharelu nuskhe aur upay. Home Remedies for Cockroach in Hindi/Urdu.
Garmi ka mausam ho ya phir Barsaat ka mausam dono hi mausam mein cockroach khoob gandagi phailaate hain. Barsaat ke mausam mein gharo mein seelan badh jaati hain aur cockroach ke panpane ke liye yeh sabse badhiya situation hoti hain. Cockroach hamare kitchen aur store mein sabse zyada rahte hain.

Cockroach saaf suthare gharo  mein gandagi phailaane ka kaam karte hain. Inke aane se ghar mein kai bacteria daakhil ho jate hain. Bazaar mein inhe maarne ke liye kai kism ke mahnge se mahnge spray bhi aate hain, Lekin in cheezo ka istemal karne se bhi kai baar yeh ghar se nahi bhaagte hain. Kai baar cockroach maarne ya bhagaane wale spray ka istemal karna health ke liye nuksandeh ho sakta hain, Kyonki in cockroach remover spray mein zehreele chemical daale gye hain, Jisse aap aur aapki family ko yeh nuksaan bhi pahucha sakte hain. Khas taur par jab aapke ghar mein chote bacche ho. Aise mein behtar yehi hoga ki aap kuch gharelu nuskho ko ajmaaye aur cockroach ko ghar se bahar nikaale.

Aaiye jante hain Cockroach ko bhagane ke liye kaun se gharelu nuskhe aur upay hain, Jinhe apna kar aap cockroach ko apne ghar se bahar nikaal sakte hain. Easy Home remedies for get rid Cockroach from house in Hindi/Urdu.

Cockroach bhagane wale gharelu nuskhe aur tips :- 


1. Boric Powder :- Cockroach ki problem lagbhag  sabhi gharo mein hoti hain. Cockroach ko door bhagaane ke liye 2 bade chammach Boric powder aur 2 bade chammach Genhu ka atte ko doodh mein mila kar goonth le. Inki choti goliya bana kar jis jagah cockroach ho vaha par rakh le.


2. Baking powder aur Chini mila kar rakhe :- Ek katore mein barabar matra mein Baking powder aur Chini milaye aur is mixture ko oos jagah par chhidak de jaha cockroach rahte ho. Cheeni ka meetha swaad cockroach ko apni aor attract karta hain aur baking soda unhe maarne ka kaam karta hain. Samay samay par ise badalte rahe. Baking soda aur chini barabar matra mein milana chahiye aur cockroach wali jagah par chhidkna chahiye. Ise khate hi cockroach mar jayenge.


3. Coffee ke daane :- Cockroach ko bhagane ke liye coffee bhi kaafi kaam aata hain. Jaha cockroach ho, vaha coffee ke kuch daane rakh de. Ise kha kar cockroach mar jayenge.


4. Tej Patte ka istemal :- Tej patte ki smell cockroach ko door bhagaati hain. Ghar ke jis kone mein aap Tej patte ki pattiyo ko masal kar aap rakhenge, Cockroach oos jagah se bhaag jayenge. Darasal tej patte ko masalne par aapke haatho mein ek halka sa tel nazar aata hain, Yehi tel tejpatte mein mauzood hota hain, Isi tel ki smell se cockroach door bhaagte hain. Waqt waqt par pattiyo ko badalte rahe.


5. Kerosene oil :- Kerosene oil (Mitti ka tel) ke istemal karne se bhi cockroach bhaag jate hain, Lekin iski badboo se nipatne ke liye aapko taiyaar rahna chahiye.


6. Borax powder ka istemal kare :- Jaha cockroach jyada ho vaha par borax powder ka chhidkaav kare. Isse cockroach bhaag jate hain, Lekin yeh khatarnaak bhi saabit ho sakta hain. Borax powder ka istemal karne se pahle yeh dhyaan rakhe ki baccho ki pahuch se yeh door rahe.


7. Kheera :- Kheera cockroach se chhutkara paane ke liye sabse asaan tarika hain. Cockroach se chhutkara paane ke liye aapke ghar mein jaha bhi cockroach dikhe, oos jagah par kheere ke slice rakh de. Kheere ki smell cockroach ko door bhagane ke liye kafi hain, Kyonki kheera nuksandeh bacteria ke growth ko rok deta hain, Jo cockroach ke liye rookavat ka kaam karta hain.



8. Laung ki khushboo :- Tez smell wala laung bhi cockroach ko bhagaane ke liye accha upay saabit ho sakta hain. Chicken ki daraajo aur store room ki almaariyon mein laung ki kuch kalian rakh de. Is upay se cockroach bhaag jayenge. Laung bhi cockroach ko bhagaane ke kaam aati hain, Jaha bhi cockroach dikhe, oos jagah par 2-4 laung rakh de.



Kuch aur important tips :- 


• Phal-sabzi ke chhilko ko zyada der tak ghar mein nahi rahne dena chahiye.

• Cockroach ki sankhya badhne se pahle hi aapko isse chhutkara paane ki koshish karni chahiye.

• Agar aap cockroach ko maarne ke liye koi spray ka istemal karne ja rahe hain, to apni skin ko acche tarah se dhak lena chahiye.

• Paani nikalne wali sabhi jagaho par jaali lagi honi chahiye.