Metabolism rate increase (Badhaane) ke liye jaroor khaye yeh cheeze.
Duniya mein kai log yeh janna chahte hain ki kya koi aisa food hain, jinhe khane se metabolism rate badhta hain aur weight kam karne ke body ki fat burning capacity mein ijafa hota hain.
Hakikat yeh hain ki kuch aise food aur cheeze hain jinhe khane se Metabolism (chayapachay) ka process badh jata hain. Is tarah ke food ko negative calorie food bhi kaha jata hain.
Is tarah ke food mein fat burn karne ki capacity hoti hain, so yeh weight kam karne mein madadgar hote hain. In cheezo ko kha kar aap khane se milne wali calories se jyada calories burn kar sakte hain.
Is tarah Metabolism rate ko increase karne aur fat burn karne ki power ki wajah se negative calorie food bahut hi jaroori hain. Acchi exercise karne ke saath hi yeh Zero calorie food jo aapke metabolism rate ko badhane ke saath wazan kam karne mein important role ada karte hain.
• Cereal khaye :- Wazan kam karna chahte hain to Cereals khaye. Cereals na kewal aapki metabolism rate ko boost karte hain, balki yeh kai ghanto tak aapko energy bhi dete hain, Kyonki inhe hajam karne mein bahut waqt lagta hain. Yeh insulin ke level ko control mein rakh kar Fat ko banne se rokte hain.
• Khatte Phal :- Khatte fruits jaise Nimbu, Santra aur Angoor aadi mein bharpoor matra mein Vitamin C hota hain. Yeh fat burn karne ke process ko badhane mein madadgar hote hain, Kyonki Vitamin C Metabolism rate ko tez karta hain.
• Fish aur Chicken :- Aise log jo bina Charbi ke protein jaise Fish ya Chicken ko khate hain, Unki metabolism rate mein sudhaar aata hain. Kyonki inke pachan mein bahut jyada time aur energy ki jaroorat hoti hain, Jisse fat burn hone ka process badh jata hain.
• Lahsun :- Lahsun bhi aisa hi ek food hain. Lahsun aapke metabolism ke process ko badhaata hain aur wazan ko kam karne mein madad karta hain. Yeh body mein fat paida karne ki capacity ko dheema kar deta hain aur din bhar ki jane wali activities mein burn hone wali calories ko badha deta hain.
• Berries :- Har tarah ki berries jaise Blueberries, Strawberry ya Blackberry aapke metabolism rate ko increase karte hain. Inme Fiber bharpoor matra mein hota hain. Yeh calories ko burn karne mein helpful hote hain. Berries mein mauzood Fiber fat ko observe kar lete hain aur unhe sharir se baahar nikaal dete hain.
Post a Comment