Header Ads

Ice cube tray ka aap is tarah se bhi istemal kar sakte hain.

Ice cube tray ka aise kare istemal. Do you Know these interesting thing, You can use ice cube tray with different purpose. Tips in Hindi/Urdu.
Kya aap Ice cube tray ka istemal sirf paani bhar kar barf jamane ke liye hi karte hain. To phir aaj ki post jaroor padhe, Isse aap janenge ki Ice cube ka istemal aap difference purpose ke liye kaise kar sakte hain. Apni bachi hui wine, herbs, jewelry store ke alawa dusre tariko se bhi aap is ice tray ka use kar sakte hain.

• Create Cool Mood :- 

Kisi bhi party mein jaan daalne ke liye ek Ice cube tray ko paani se bhar le. Ab ise Semi-fridge mein rakhe. Ab har cube ke beech mein mentos candy rakh de aur in cubes ko puri tarah se freeze ho jane de. In ice cubes ko Cola ke glass mein add karke serve kare. Jaise jaise Ice Cube melt hogi aur candy bahar aayegi, Cola ka fame badhta chala jayega. Dhyaan rakhe ise peena nahi hain, Kyonki yeh aapke pet ko faad bhi sakta hain. Yeh sirf dosto ko mazaak karne ke liye hain, Yani ki jab aap Cola mein yeh mentos wali barf daalenge to Cola ka jhaag upar chadhne lagega aur bahar girne lagega. Its Fun purpose only, Don't Drink this Cola, Because you will be hospitalized...


Start your garden :- 

Gardening ka sauk rakhte hain to Ice cube ke har compartment mein Soil yani ki khaad daale. Ab inme beej daal kar apna indoor sprouting season shuru kar le.


Fun treats with kids :- 

Ice cube tray Jelly cubes ke behad acche mold ho sakte hain. Yeh kai tray jelly cubes bana sakte hain, Jisme har tray alag color aur flavor mein hogi. Inhe fun-presentation ke liye kids ke party program mein rakha ja sakta hain.


Have fresh herbs all season :- 

Sabhi tarah ke healthy herbs ko bareek kaat le aur inhe ice cube tray mein drop kare. Ab in par thoda sa paani daal kar freeze kar de. Jab bhi aapko kisi dish mein taza dhaniya ya pudina daalna ho to yeh aapke fingertips par hi nazar aayenge. Iske alawa freezer mein inka colour bhi maintain rahta hain.


Organize your baubles :- 

Ice cube tray mein apni choti-moti jewelry rakhe aur inhe dressing table ki drawer mein hi rakhe. Dresser drawer mein rakhe huye Ice cube tray earring aur chote-mote jewelry store karne ke liye behtarin jagah ho sakti hain. Inme aap apni sabhi earrings store kar sakti hain aur yeh draaz asaani se stack kiya ja sakta hain.


Freeze leftover wine :- 

Sauce  ya stew banane ke liye bachi huyi wine ko ice cube tray mein freeze kare. Jab red aur white wine ke cubes solid ho jaye jab inhe bahar nikaal kar Zip lock bag mein shift karke freeze kare.


 Pretty up a drink :- 

Apne favorite beverage ke glass mein floral ice cube daalenge to behad khubsoorat dikhayi denge. Isme aap edible flower (phool) aap use kar sakte hain. Apne ghar mein hone wali kitty ya brunch party mein is tarah ke drink serve kare. khoob taarif milegi.