Running karte waqt yeh galtiya na kare.
Running ko fit aur fine rahne ke liye best exercise mein se ek mana jata hain. Isme jyada koi kharch nahi karna padta hain, Bas shoes aur running track suit pahan kar aap running karne ke liye ja sakte hain. Vaise to running karna bahut aam baat hain, Par iske kuch khatre bhi hote hain. Agar aap ise nazarandaaz karenge to aapko koi serious injury bhi ho sakti hain. Lambe waqt ke liye agar aap running karne ja rahe hain to kuch baaton ka aapko khyaal rakhna padega, Jisse aapke joints aur haddiyo par bad effect nahi padega.
Agar aap regular taur par running karte hain, to phir aapko apne liye sahi shoes choose karna padega. Aam shoes aur running shoes mein kafi fark hota hain. Running ke liye agar aap sahi shoes nahi choose karenge to isse takhne aur dusre jodo par pressure padega. Aur agar aap first time running karne ja rahe hain, to bahut jyada daudne ko lekar alert rahe. Isse aapke muscles ko nuksaan pahuch sakta hain. Saath hi agar aap regular running session start karne wale hain , to experts ki salah lene ke saath saath thoda bahut running ke liye jaroori research bhi kar le.
Agar aap running ke liye serious hain to phir aapko running ke haav-bhaav aur basic technique ke bare mein bhi experts se salah lene ki jaroorat hain. Aapko yeh bhi janna chahiye ki aapki body ke according kitna long dug aapke liye fine rahega. Agar aap new comer hain to running karne se pahle warm up jaroor kar le. Isse aapki body ki akdan khatm hogi aur muscles mein lacheelapan aayega.
1. Running ke dauran kabhi bhi pairo ko zor se zameen par nahi patakna chahiye. Isse aap preshani ka saamna kar sakte hain aur aapke sharir par pressure bhi badhega. Yeh galti aam taur par sabhi log karte hain. Isse aapki haddiya aur jodo ko nuksaan pahuchta hain aur yeh chotil ho sakti hain.
2. Running karne ke liye log dress ka sahi choonav nahi karte hain. Agar aap regular running karte hain to acchi fitting wali dress pahne. Aise kapde pahle jo na zyada chust ho aur na hi zyada dheele ho. Aapko sirf unhi dress ko choose karna chahiye, jo khas taur par running karne ke liye hi design kiye gye hain.
3. Running ke time ek aur baat ka dhyaan rakhe, kabhi bhi tez na daude. Isse body par extra pressure padta hain aur aap jaldi thak bhi jate hain. Bahut tez daudne se aapka sharir bhi dard karne lagega aur aap din bhar sust bane rahenge.
4. New runner hamesha yehi galti karte hain ki veh bahut jaldi bahut zyada daud lete hain. Agar aap lambe samay tak running jaari rakhna chahte hain to aisi mistakes se bache. Agar aap naye hain to physical fitness ki kami mein aapki body aur muscles mein akdan hogi. Niyamit roop se running start karne se pahle is akadan ko hatane ke liye stretching karni chahiye.
5. Naye logo ke alawa regular daudne wale log bhi yeh common mistake karte hain. Veh apne shoes ko nazar-andaaz karte hain. Aam taur par running ki shuruvaat karne wale log koi bhi joota pahan kar daudne lagte hain. Agar aapke shoes acche aur fit nahi honge to aapko kai saari physical injuries ho sakti hain.
6. Running shuru karne ke baad log aksar yeh galti karte hain ki veh acche se khana nahi khate hain. Agar aapne running start kar di hain to aapko Carbohydrate aur Protein se bharpoor diet leni chahiye. Yeh ek tarah ka fuel hain, Jisse running ke waqt hamare body ko energy milti hain.
7. Agar aap long term tak running jaari rakhna chahte hain, to aapko running posture ke bare mein bhi jankari honi chahiye. Sahi jankari na hone ki wajah se aapki body par extra pressure padta hain. Running ke waqt apne sharir ko seedha aur relax rakhe.
Post a Comment