Header Ads

Janiye alag-alag paints ke baare mein aur kaun sa paint aapki deewaro ke liye accha rahega.

Paint ke baare mein puri jankari. Paint kitni tarah ke hote hain. Wall paint kaun sa colour accha rahega.
Kya aap apne ghar ko colour karwaane ja rahe hain? Kya aap janna chahte hain ki kaun se color deewaro ko khubsoorat banate hain? Kya aap janna chahte hain Wall paint kitni tarah ke hote hain aur Paint karwane ke fayde kya hain? To dosto yeh post jaroor padhe. Aapke liye aaj hum lekar aaye hain paints ke baare mein puri jankari, vo bhi Hindi/Urdu mein.


Paint ko kaise choose kare? 

Paint karwaane se pahle Paint ka chunaav karna bahut hi jaroori hain, Kyonki paint sirf ghar ki andar ki deewaro mein hi nahi, balki ghar ki bahar ki deewaro mein bhi kiya jata hain. Isliye iska chunaav karte waqt dhyaan rakhe. Aaiye jante hain ki kitni tarah ke paint hote hain?

Paint kitni tarah ke hote hain? 


• Plastic emulsion :- Yeh paint bahut jaldi sookhta hain aur is par daag-dhabbe bhi asaani se nahi padte hain. Lekin is paint ko karne mein thodi acchi jankaari aur extra efforts ki jaroorat padti hain. Isliye ise kisi acche painter se hi karwana chahiye.


• Texture Paints :- Wall ko beautiful arts se sajane ke liye Texture paint ka istemal kiya jata hain. Normal Colour paint se alag is paint ko lagane ka process bhi alag hota hain. Iske liye company ki tarah se trainee employees ko logo ke gharo mein bheja jata hain. 3 tarah ke process se gujarne ke baad iska kaam khatm hotah hain. Is technique se ghar ko Multi-star hotel jaisa khubsoorat banaya ja sakta hain. Yeh ghar andar aur bahar dono hi deewaro ke liye accha rahta hain. Yeh kai tarah ke beautiful shades aur texture mein milta hain.


• Clay Paint :- Clay paint dharti se milne wale minerals se banaya jata hain. Yeh ek natural paint hain, Jiska ghol jyadatar paani se hi taiyaar kiya jata hain. Apne ghar ko Eco-friendly aur Hygienic banane ke liye Clay Paint ek accha option hain.


• Cement based paint :- Yeh sirf ghar ki baahari deewaaro ke liye hi accha rahta hain.


• Limewash Ya Whitewash :- Limewash ko calcium based minerals se banaya jata hain. Limewash paint asal mein Choona paint hota hain. Lime wash paint andar aur bahar dono jagaho par istemal kiya ja sakta hain, Yeh lakdi, brick, plaster ya concrete sabhi jagaho par accha rahta hain.


• Milk Paint :- Clay Paint aur Lime Paint mein jaha aapko minerals milte hain, Vahi milk paint protein based hota hain. Milk paint ko aap sirf indoor ke liye hi istemal kar sakte hain.


• Dry Distemper :- Yeh zyadatar bright shades mein milta hain aur iski keemat bhi thodi zyada hoti hain.


• Oil bound Distemper :- Yeh 2-3 saal tak kharab nahi hota. Ise ghar ke baahar nahi ghar ke andar karwaana chahiye, Kyonki yeh usi ke liye bana hua hain.



• Weathershield surface paint :- Gharo ke baahar deewaro par lagne wala yeh paint temperature ko 5 degree kam karne ki power rakhta hain. Weather Shield Paint Velvet touch, Three in One aur Dulux Super smooth category mein available hota hain.


• Synthetic enamel paint :- Yeh 2 tarah ke hote hain. General purpose aur Super Synthetic Enamel. General Purpose Enamel khidaki, darwaajo aur steel ke furniture ke saath saath dewaaro ke liye bhi istemal kiya jata hain, Lekin super synthetic enamel khas karke lakdi aur metal ke liye hi istemal kiya jata hain. Lux Super Smooth category mein available hota hain.


• Water proof paint ;- Water proof paint mein colours ko saalo tak ek jaisa rakhne ki quality hoti hain.


• Acrylic emulsion paint :- Dusre wall paint ke mukable zyada popular hain. Yeh glossy, Semi-Glossy aur Matt finish ke hundreds shades mein available hain.


• Plastic Shine Royal & Luxury Emulsion paint :- Plastic shine royal & luxury emulsion paint ki khubsoorati raat ko nikhaarti hain. Ghar ki baahri deewaro par lagne wala yeh paint sun rays ke reflection ke baad chamakta hain.


• Hygienic paint :- Ghar ki deewaro ka hygienic hona bahut hi jaroori hain. Kyonki deewaro par mauzood chemicals, dust aur bacteria hame kai tarah se nuksaan pahucha sakte hain. Ordinary paint mein Phenol and Formaldehyde jaise chemical hote hain, Jinse cancer hone ka khatra hota hain. Aam paint mein mauzood chemicals hawaa mein ghool kar baccho mein Asthma paida kar sakte hain. Yahi nahi khujali, fefdo ki takhleef, aankhe aur skin mein allergic reaction bhi non-hygienic paint ke asar se ho sakta hain.

Market mein aise bahut se paint available hain jo Non-Toxic element se bane hote hain. Yeh paint hygienic hone ke saath hi Eco-Friendly bhi hote hain. Yeh zero volatile organic compound yani hawaa mein na ghulne wale aur chemical rahit  hone ke saath hi non toxic hote hain.

Yeh gandh rahit paint faydemand bhi hain, kyonki yeh sirf  250 chemicals se taiyaar kiye jate hain, Jinme 98% natural hote hain. Non-Eco Friendly ya traditional paints mein mauzood VOC yani ki Volatile  Organic  Compound hawaa mein ghulne  wale chemical gas ke roop mein hote hain, Jo hard hone ke saath hi liquid bhi ho sakte hain. VOC mein kai tarah ke chemical mauzood hote hain, Jo sehat par bura asar daalte hain.

Yeh paint aam paint ki tarah deewaro par 2-3 saal nahi balki 7-8 saalo tak tika rahta hain. Center for Energy research & studies ne bhi emulsion companies ko order diye hain ki Paint mein chromium, Led, Mercury ki quantity nahi hona chahiye.

Is order ke paas hone ke  baad sabhi companies ne Eco friendly paints ka production karne ka process tez kar diya tha. Ab logo ke paas kai option hain. Hygienic paint ka chunaav karne se pahle yeh jaroor jaan lena chahiye ki kaun se paint hygienic hain, Isliye paint karwaane se pahle yeh paint ke hygienic paint ke baare mein jaroor jane.


Har rang  kuch kahta hain :- 


Ghar mein paint karwaane se pahle yeh decide karle ki aap apne ghar ko kis tarah ka look dena chahte hain. Saath hi is baat ka khyaal rakhe ki ghar ke size aur design kis tarah ki hain, Kyonki rango se hi aap chhote se ghar ko bhi bada look de sakte hain. Aam taur par aap colours ko 2 parts mein divide kar sakte hain.

Ek taraf aise rang jo utsaah, khushi aur taakat ka ahsaas karate hain. In rango mein Red, Orange aur Yellow colour aata hain. In rango ki specialty yeh hoti hain yeh badi jagah ke prabhaav ko kam karte hain aur badi jagah ko bhi apne favor mahsoos karate hain aur dusri tarah aise rang hote hain jo sukoon, shanti aur nature ke kareeb hone ki feeling dete hain. In rango mein Neela, Green, white aur Cream colour shamil hain. Vaise room mein colour ka chunaav is baat par depend karta hain ki aapke room ka size kya hain, Room mein roshini ka intezaam kya hain.