Header Ads

In Andhvishwaas ke peeche juda hota hain Scientific reason.

Indian Superstition ke peeche ka scientific  logic. Andhvishwaas ke peeche ki sacchai.
Hamare buzurgo ne kai aise rasam aur rivaaz banaye hain, Jinke peeche scientific reason chhupa hota hain. Ji haan har Andhvishwaaas ke peeche ek Scientific fact hain. Aaiye jante hain ki in andh-vishwaas ke peeche kya science chhipi huyi hain.

Hamari society mein kuch aise tradition hain jinhe Andh-vishvaas ke nazariye se dekha jata hain. Jaise ghar ke baahar Nimbu-Mirchi latakaana, Dahi kha kar ghar se baahar nikalna aadi. Lekin kya aapko maaloom hain ki hamare buzurgo ke banaye in traditions ke peeche science kaam karta hain. To chaliye jante hain Andvishwaas ke peeche kya science chhipi huyi hain.

Dahi kha kar ghar se nikalna

Kisi bhi shubh kaam par jane se pahle ghar se dahi kha kar nikalna bahut hi shubh mana jata hain. Lekin tradition ke peeche science ka logic yeh kahta hain ki garm mausam mein dahi khane se pet ko thandak milti hain. Saath hi Dahi ke saath shakkar mila kar khane se body mein glucose ki matra sahi bani rahti hain.


Pregnant woman ko ghar se baahar na jane dena

Bhoot pret ka bura saya maa aur hone wale bacche ko na pad jaye. Lekin iske peeche logic yeh hain ki purane zamane mein aane-jaane wale vehicles ki kami thi aur pregnant woman ko paidal chalne se problem hoti thi.


Grahan (Eclipse) ke time ghar se baahar na nikalna

Hamare buzurg hamesha grahn ke samay ghar se baahar nahi jane dete hain, Unke mutabik buri taakte haawi ho jati hain. Jabki hakikat yeh hain ki Grahn ke waqt suraj ki kirno se skin ki bimari ho sakti hain. Saath hi eclipse ko nangi aankho se usay dekhne se log andhe bhi ho sakte hain.


Darwaaze par Nimbu-Mirchi latkana

Darwaaze par nimbu-mirchi taangne ka logo ka andvishwas yeh hain ki aisa karne se buri takto ka saya ghar par nahi padta hain. Jabki scientific reason yeh hain Nimbu, Mirchi mein mauzood Citric Acid hota hain jo Keedo-makaudo ko ghar mein daakhil hone se rokta hain.


Saanp ko maarne ke baad uska seer kuchalna

Kaha jata hain ki saanp ko maarne se maarne wale ki photo saanp ki aankho mein chhap jati hain. Jabki is andhvishwaas ke peeche logic yeh hain ki Saanp ko maarne ke baad bhi uska zehar logo ko maut ki neend sula sakta hain. Isliye saanp ke seer ko kuchal kar daba dena chahiye.


Raat ke samay naakhoon nahi kaatna

Raat ko naakhoon na kaatne ko lekar andwishwaas yah hain ki aisa karne se aapki kismat par bura asar padta hain. Jabki purane zamane mein bijali nahi hone ki wajah se raat mein naakhoon nahi katate thay. Us waqt mein naakhoon kaatne ke liye auzaar aadi ka istemal kiya jata tha, Jisse andhere mein naakhoon ki jagah ungliyo ke katne ka bhi darr hota tha.


Tuesday aur Thursday ko baal na dhona

Jyadatar mahilayein aksar mangalvaar aur guruvaar ko baal nahi dhoti hain. Kyonki unhe lagta hain ki baal dhone se buri kismat ho sakti hain. Lekin purane zamane mein Paani ko log store karke rakhte thay. Baal dhone mein paani zyada kharch hota hain, toh 2 din paani bachaane ke liye baal nahi dhote thay.