Header Ads

Phalo aur sabziyo ke chhilke ke gharelu nuskhe aur fayde.

Phal aur sabzi ke chhilke ke gharelu nuskhe aur upay. Benefits & Home remedies of Fruits & Vegetables Peels in Hindi/Urdu.
Healthy life ke liye fruits aur vegetables ko khana bahut hi jaroori hain. Body ke liye jaroori sabhi nutrients hame phal aur sabziyo se milte hain. Isliye dietitian acchi sehat ke liye phal aur sabziyo ko jyada se jyada khane ki salah deta hain. Lekin kya aapko pata hain ki phal aur sabziyo ke alawa unke chhilke bhi bahut hi kaam ke hain. Ji haan hum fruits aur vegetables ke chhilke ko bekaar samajh kar dustbin mein daal dete hain. Lekin in chhilko ke kai gharelu nuskhe aur upay hain, jinka istemal karke hum kai saari bimariyo ko door bhaga sakte hain.  

Aaj hum phal uar sabziyo ke chhilke ke gharelu nuskhe aur upay ke baare mein janenge. Home Remedies & Health benefits of Fruits & Vegetables peels in Hindi/Urdu. 

Phal aur sabzi ke chhilko ke gharelu nuskhe aur fayde. 


Anaar ke chhilke ke fayde :- 

• Anar ke chhilke ke 2 chammach powder mein dugna gud mila kar goliya banaye. In goliyo ko kuch din tak lagatar lene se bawaseer (Piles) mein bahut jaldi aaram milta hain. 

• Anaar ke chhilke ko baarik pees le aur usme Dahi mix karke gadha paste bana le. Is paste ko baalo par lagaye, Isse baal soft ho jate hain. 

• Anaar ke chhilko ko mooh mein rakh kar choosne se khansi door ho jati hain. 

• Jin ladies ko periods ke dauran jyada bleeding hoti hain, Unke liye Anar ka chhilka ek behatarin dawaa hain. Anaar ke chhilke sookha kar pees le aur is powder ki ek chammach matra paani ke saath le. 

Santre ke chhilke ke fayde :- 


• Orange ke chhilko mein Anti-Fungal, Anti-Bacterial aur Cleansing gun paye jate hain, Jo Pimple aur Acne ko theek karta hain. Santre ke chhilke ko sukha kar pees le aur phir isme dahi mila kar skin par lagaye, Isse skin glowing aur smooth ban jati hain. 

• Santre ka chhilka keedo ko maarne wala aur bukhaar ko khatm karne wala hota hain. Isliye in sabhi problems mein Santre ka chhilka pees kar khane se fayda hota hain. 

• Orange ke chhilke mein ek special kism ki khushboo wala tel paya jata hain. Is tel ka istemal nervous system ko shaant karne aur gahri neend ke liye kiya jata hain. Nahane ke paani mein is tel ki 2 se 3 boonde daaliye aur phir dekhiye aapko kitni acchi neend aati hain. 

• Santre ke chhilko ko besan mein mila kar lagane se oily skin walo ke liye khas taur par faydemand mana jata hain. Yeh pimples se chhutkara dilata hain. 

• Santre ke chhilke ko pees kar usme Gulab Jal mila kar chehre par lagane se daag-dhabbe khatm ho jate hain. 

• Santre ke chhilke Cancer, Haddiyo ki kamjori jaisi problems mein khas taur par faydemand hote hain. 

• Agar aap rough aur bejaan baal se preshaan hain toh Santre ke chhilke aapke liye chamatkari saabit ho sakte hain. Santre ke chhilko ko pees kar baalo mein kuch der tak lagaye aur phir baalo ko dho le. Baal shiny aur soft ho jayenge. 

• Santre ka chhilka hajma durust karne, Gas, Ulti, heart burn aur Acidity ko door karne mein madad karta hain. Yeh bhookh ko badhata hain aur matli se rahat deta hain. 

• Ek research ke mutabik agar kisi ko cholesterol ki problem ho to aise mein Orange Peels faydemand saabit ho sakte hain. 

Kele ke chhilke ke fayde :- 


• Masso par regularly Kele ka chhilka gheeste rahne se masse jhad jate hain. 

• Lather Bag, Belt ya Shoes dull dikhne lage to oon par Kela ka chhilka ragadne se chamak aa jati hain. 

• Agar body mein kanhi dard hain to Banana peels oos jagah par 30 minutes tak laga kar chhod de, Dard se aapko rahat milne lagegi. 

• Jab koi keeda kaat le to oss jagah par kele ke chhilke ko pees kar lagane se aaram milta hain. 

• Agar aap jhurriyo se preshan hain to Ande ki jardi mein Kele ka chhilka mila kar chehre par lagaye. Isse jhurriya khatm ho jati hain. Is paste ko 5 minutes tak face par lagaye aur phir chehre ko dho le. 

• Psoriasis hone par Kele ke chhilke ko pees kar lagane se daag-dhabbe khatm ho jate hain aur aapko aaram milta hain. 

• Kele ke chhilka daanto par ragadne se daant chamakne lagte hain. 

• Aankho mein thakaan mahsoos hone par Kele ke chhilko ko aankho par thodi der ke liye rakh le. Isse aapko rahat milegi. 

• Kele ke chhilko ko halke haatho se chehre par 5 minutes tak gheesne se pimples door ho jate hain. Iske chhilke ka paste bana kar lagane se chehra glow karne lagta hain. 

Nimbu ke chhilke ke gharelu nuskhe aur fayde :- 

• Nimbu ka chhilka daanto par malne se daant safed aur chamakdaar bante hain. 

• Nimbu ka chhilka shoes par ragade aur kuch der ke liye inhe dhoop mein rakh de. Jooton mein nayi chamak aa jati hain. 

• Nimbu aur Santre ke chhilke ko sukha kar, Khoob maheen churan bana kar daanto par gheese, daant chamakdaar ban jayenge. 

Dusre phal aur sabziyo ke chhile ke gharelu nuskhe aur fayde :- 


• Lauki ke chhilke ko baarik pees kar paani ke saath peene se dast mein fayda hota hain. 

• Kharbooze ke chhilke ko khane se kabz door hoti hain. 

• Badam ke chhilke aur Babool ki phalliyo ke chhilke aur beej ko jala kar pees le.  Is mixture mein thoda sa namak daal kar manjan kare. Isse daanto ka dard door hota hain. 

• Aaloo ke chhilko ko chehre par ragadne se chehre par jhurriyan nahi padti hain. 

• Papite ke chhilke ko beauty badhaane wala mana gya hain. Skin par ise lagane se dryness door hoti hain. Aidiyo par lagane se vey soft banti hain. 

• Agar aap Almaariyo mein Keedo se preshan hain, to vaha par karele ka chhilka rakh sakte hain.