Doodh se hone wali Allergy ko door karne ke gharelu nuskhe aur upay.
Doodh ko peene se body ki takat badhti hain, lekin doodh se hone wali allergy ki wajah se kuch logo ki takat badhne ki bajaye aur kam ho jata hain. aur veh log doodh pee kar bimar ho jate hain. Kuch log doodh mein mauzood Lactose sugar ko hazam nahi kar pate hain aur veh Lactose Intolerance ke shikaar ho jate hain. Jis karan unhe Ulti, Gas aur Acidity ki problem ka saamna karna padta hain.
Kuch logo ko Milk mein paye jane wale Protein se allergy hoti hain. Aisi situation mein human ki body is protein ko pahchan nahi paata hain aur react karne lagta hain. Serious Situation mein aadmi ko pitti, Khansi, skin par lal chakatte, behosi ya ghabrahat mahsoos hoti hain. Serious situations mein doodh na peena hi better decision hoga.
Lekin Lactose Intolerance ke patient kuch gharelu nuskhe aur upay ki madad se is problem se chhutkara pa sakte hain. Aaiye doodh ki allergy se bachne ke tarike jante hain. Home remedies for Milk allergy (Lactose Intolerance) in Hindi.
Doodh ki allergy ko door karne ke gharelu nuskhe aur upay :-
1. Kam quantity mein doodh ko piye :- Rojana kam matra mein doodh aur dairy products ka sewan kare. Is tarah se allergy ke symptoms ki tezi bhi kam hogi aur dheere-dheere aapka immune system bhi in se ladne ke liye taiyaar ho jata hain. Is tariko ko lambe waqt tak apnane se aapko allergy se chhutkara mil jayega. Lekin yeh sab kisi doctor ki dekhrekh mein kare.
2. Vitamin C :- Allergy ka main reason hain Histamine. Vitamin C mein mauzood Anti-allergy gun Histamine ko kam karte hain aur aapko allergy se rahat dilaate hain. Iske liye aap Vitamin C ke supplement le sakte hain ya phir Orange, Nimbu aur Tamatar aadi ko kha sakte hain.
3. Calcium aur Magnesium :- Calcium aur Magnesium wale food jyada khaye. Iske liye aap Anda, Kela, fresh vegetables ka sewan kare. Calcium aur Magnesium Rich diet neural mechanism ko shant karte hain aur body ki immunity ko bhi boost karte hain.
4. Label ko pura padhe :- Agar aap allergy se preshan hain toh packed food ko khareedne se pahle unke label ko acche se read kare. Aksar dibbe mein aane wali cheezo mein kuch quantity mein milk bhi mauzood rahta hain. So is problems se bachne ke liye label ko padhna bahut hi jaroori hain.
5. Gajar ka juice :- Gajar ke juice mein Kakdi, Anar aur Chukandar ka juice ko milaye aur roj subah ise pijiye. Yeh juice doodh aur dusri cheezo se hone wali allergy se ladne ki power deta hain aur aapko allergy se nijaat dilane mein aapki help karta hain.
6. Shahad :- Kai bimariyo ke nidaan ke liye shahad ka istemal kiya jata hain. Isme mauzood guno ki wajah se yeh doodh se hone wali allergy ko theek karne ke liye bhi istemal kiya jata hain. Isliye daily morning breakfast karne se pahle 1 chammach Shahad jaroor piye.
8. Adrak :- Adrak ka istemal doodh se hone wali allergy ko theek karne ke liye kiya jata hain. Adrak doodh mein mauzood protein ko digest karne mein madad karta hain. Iske alawa yeh Histamine ke level ko bhi kam karta hain, Jo ki allergy hone ki aham wajah hoti hain.
9. Vitamin E aur Selenium :- Antioxidants ke taur par kaam karne wale yeh tatv aapki body se Free radicals ko khatm kar dete hain. Allergy ke symptoms par kaaboo paane ke liye daily inka sewan 50 se 100 micro gram mein kare.
10. Haldi :- Haldi doodh se hone wali allergy ko door karne mein faydemand saabit hoti hain. Haldi doodh se hone wali allergy ko khatm karne mein sabse best home remedy mani jati hain. Isliye iska fayda paane ke liye khane mein Haldi ki quantity ko badhaye.
Post a Comment