Kya packet wala kaccha doodh peena chahiye?
Doodh ko sampooran aahaar mana jata hain, Jisme aapki body ke liye sabhi jaroori nutrients aur Vitamins paye jate hain. Yeh thanda, Vaat aur Pitt ko balance karne ka kaam karta hain. Ise raat ko peene se neend bhi acchi aati hain. Doodh bhookh ko door karta hain aur motape se bhi chhutkara dilata hain. Lekin Ayruveda ke according sirf Gaay ka doodh (cow milk) hi peena chahiye. Gaay ka Doodh organic aur fresh hota hain. Lekin kai baar doodh peene se kai logo ka pet phoolne lagta hain. Yeh doodh acchi tarah se hazam na hone ki wajah se hota hain aur iska ek reason yeh bhi hain ki doodh ki quality acchi nahi hoti hain, jo ki aaj ke zamane ki ek common problem hain. Aaj hame shuddh doodh asaani se nahi mil pata hain.
Packet wala doodh nahi hota organic aur fresh.
Acchi quality ka doodh easy to digest hota hain, Lekin yeh cities mein asaani se milta hi nahi hain. Isliye log packet wale doodh ka istemal karte hain. Vaise bhi pahle ke zamane ke mukable doodh ki quality mein giravat aane ki wajah se aisa hua hain. Kai baar digestion system majboot na hone ki wajah se bhi doodh sahi tarah se hajam nahi ho pata hain.
Aaj jyadatar log packet wala doodh hi peete hain. Packet wala doodh na to fresh hota hain aur na hi organic hota hain. Jabki Ayurveda ke mutabik Fresh, Organic aur bina hormone ki milavat wala doodh hamari body ke liye faydemand hota hain. Aise mein samjha ja sakta hain ki packet wala doodh nahi peena chahiye. Packet wale doodh ka istemal Chai banane ya phir Dahi jamaane ke liye hi kiya jana chahiye.
Kaccha Doodh bilkul bhi na piye.
Kai logo ko kaccha doodh peene ki aadat hoti hain. Fresh milk ko toh kacch bhi piya ja sakta hain, Lekin Packet wala doodh kaccha bilkul bhi na piye. Kuch log seedhe fridge se doodh nikaal kar bina ubaale hi usay pee jate hain. Yeh health ke liye accha nahi hain. Ayurveda ke mutabik Doodh ko hamesha garm karke hi peena chahiye, aur jab baat packet wale doodh ki ho toh usay hamesha hi ubaal kar peena chahiye.
Har kism ke doodh ko ubaal kar piye.
Doodh kisi bhi tarah ka ho usay peene se pahle jaroor ubaale. Kyonki kaccha doodh bhaari hota hain, usme paani mila kar ubaale aur phir ise pijiye. Aisa karne se doodh asaan ise pach jata hain. Jin logo ko doodh hazam nahi hota hain veh doodh mein thoda Adrak, Laung, Elaichi, Kesar, Dalchini aur Jayphal aadi ko mila kar piye. Yeh saari cheeze pet ki garmi ko badha dengi jisse doodh asaani se hajam ho jayega.

Post a Comment