Header Ads

Girte huye Hemoglobin level ko badhaane ke tarike.

Hemoglobin level ko badhaane ke liye kya khaye? Tips for increase hemoglobin level in Hindi/Urdu.
Kya aap girte huye Hemoglobin ko badhaana chahte hain? Kya aap yeh janna chahte hain ki Hemoglobin ka level ko kaise increase kare? Hemoglobin ko badhaane wale gharelu nuskhe, upay aur tarike kya hain? How to increase Hemoglobin level (Tips in Hind/Urdu) ? toh yeh article jaroor padhe.

Hemoglobin hamari body ka ek important part hain. Hemoglobin hamari blood cells mein mauzood Iron protein hain. Yeh protein hamare body mein oxygen ke flow ko balance karta hain. Iska kaam hamare fefdo se tissues tak oxygen ki supply karna hota hain, taki hamari jeevit koshikayein sahi tarah se kaam kar sakte. Hemoglobin hamare cells se Carbon dioxide ko vaapis fefdo tak laane ka bhi kaam karta hain.

Kyonki Hemoglobin ek healthy life jeene ke liye jaroori hain toh yeh bhi jaroori hain ki aapke khoon mein iski quantity bhi sahi rahe. Human body mein Hemoglobin ki matra is tarah hoti hain.

♦ 14 se 18 Milligram Hemoglobin ek adult aadmi ke liye jaroori hain.

♦ 12 se 16 Milligram Hemoglobin ek adult aurat ke liye jaroori hain.

Jab body mein Hemoglobin ki kami ho jati hain toh aapko kai saari bimariya ho sakti hain. Aap thakaan, Kamjori, saans ka phoolna, chakkar aana, seer dard, peeli skin, naakhoono ka tootna, Heart beat rate tez hona aur bhookh na lagne jaisi problems ke shikar ho sakte hain.

Agar aapki body mein Hemoglobin ki matra bahut jyada kam ho jati hain to aap Anemia ke mareez ho sakte hain aur iske symptoms aur bhi jyada khatarnaak hote hain. Ladies mein Pregnancy aur Periods ke dauran Hemoglobin ki quantity mein kami hona ek aam baat hain. Lekin iske kai dusri wajahe bhi hain. Sabse aam wajah hain poshak tatvo ki kami yani ki Iron Deficiency, Folic Acid, Vitamin C aur B12 ki kami.

Hemoglobin ka level girne ki aur bhi kai wajah hoti hain, Jaise surgery ki wajah se body se bahut jyada khoon ka bahna, Lagatar Blood donate karna, Bone marrow ki bimariya, Cancer, Kidney problems, Gathiya, Diabetes, Pet ke ulcer aur digestion system ki dusri bimariya.

Jyadatar mamlo mein Kam hemoglobin ki wajah Kam Red Blood Cells ho sakte hain. Hemoglobin ki giravat ki wajah jankar aur Doctor ki salah ke baad, Aap in gharelu nuskho ko apna sakte hain.

Hemoglobin badhaane ke liye tarike aur upay :-



1. Chukandar :- Yeh dekha jata hain ki Hemoglobin ka level badhaane ke liye chukandar sabse accha food hain. Isme Iron, Folic Acid, Fiber aur Potassium sahi matra mein paye jate hain. Yeh body ke red blood cells counts ko badhane mein madad karta hain.

2. Vitamin C ki matra badhaye :- Vitamin C ki kami ke chalte Hemoglobin ka level bhi gir jata hain. Kyonki Vitamin C ki kami ki wajah se body sahi tarah se Iron ko sokh nahi pata hain. Isliye aapko apni diet mein Vitamin C se bharpoor fruits aur sabziya jaise ki Papita, Santra, Nimbu, Strawberry, Broccoli, Angoor, Tamatar, Amla aur Palak aadi jaroor shamil karna chahiye. In cheezo mein Vitamin C ke alawa Iron bhi bharpoor matra mein paya jata hain. Agar aap chahte toh doctor se consult karke Vitamin C ke supplement bhi le sakte hain.

3. Apple :- Aap ek seb kha kar Hemoglobin ka level normal banaye rakh sakte hain. Seb mein Iron ke alawa dusre aliment bhi paye jate hain, jo Hemoglobin level ko sahi banaye rakhne mein madad karte hain. Aapko har din ek apple jaroor khana chahiye. Agar aap Seb aur Chukandar ka Juice mix karke piyenge toh yeh aur bhi jyada fayda karega. Iske liye aapko Aadha Cup Chukandar ke juice mein Aadha cup Seb ka juice mix karna hoga aur is mixture mein Adrak aur Nimbu ka ras mila kar din mein 2 baar pijiye. Aapka girta hua Hemoglobin level kaise jaldi se badhne lagta hain.

4. Iron se bharpoor cheeze khaye :- National Anemia Action Counsel ke according , Iron ki kami Hemoglobin ke level ka kam hone ki sabse aham wajah hoti hain. Kyonki Iron se hi Hemoglobin ka production hota hain. Kaleji, Mutton, Jhinga, Tofu, Palak, Badam, Khajoor, Masoor, Saabut Anaaz, Kasturi aur Shatavar jaisi kuch cheeze aisi hain jinme bharpoor matra mein Iron hota hain. Isliye aapko Iron ko badhaane ke liye in cheezo ko khana chahiye. Aap Iron ke supplements bhi le sakte hain. Agar aap Iron supplements le rahe hain toh apne Doctor se jaroor consult kijiye, Kyonki kai baar yeh dekha gya hain ki Jyada Iron lene se sharir par bura asar bhi padta hain.

5. Anaar :- Anaar mein Calcium aur Iron ke saath-saath Protein, Carbohydrates aur Fiber hote hain, Jisse Hemoglobin ka level badhaane mein help milti hain aur yeh healthy blood flow ko bhi badhata hain. Ek dusre option ke taur par aap Sookhe huye Anaar ke daane ke 2 chammach powder gungune doodh ke saath piye.

6. Exercise kare :- Apni daily routine mein regularly exercise ko shamil karne ki aadat dale. Jab aap kasrat karte hain toh aapka sharir automatically Hemoglobin produce karta hain. Kasrat ke dauran Hemoglobin paida karne ke liye hamara suggestion yeh hain ki aap exercise mein Aerobics ko jaroor hi shamil kare.

7. Khane mein Folic Acid wale food khaye :- Folic Acid jo ki ek B Complex Vitamin hain aur jiska kaam Red blood cells ka production karna hain. So agar body mein folic acid ki kami ho gyi toh zaahir hain ki Hemoglobin ki kami bhi ho jayegi. Body mein Folic acid ki matra ko banaye rakhne ke liye aap Hari Pattedar sabziya, Kaleji, Chawal, Dry fruits, Genhu ke beej, Mote anaaz, Moongfali, Kela, Broccoli aadi ko jaroor khaye. Aap chahe toh doctor se consult kake Folic Acid ke supplements 200 se 400 Milligram ki matra mein le sakte hain.

8. Iron Blockers se bach kar rahe :- Agar aapki body mein Hemoglobin ka level kam hain toh aap oon food items se bache jo body mein Iron ko sokhne ki power ko block karte hain. Jaise ki Chai, Coffee, Cola, Wine, Beer, Calcium wale food aur Dairy Products aadi.

9. Kandaali :- Yeh ek jadi booti hain, Jiska kaam hemoglobin ke level ko upar uthaana hain. Is Jadi-booti mein Vitamin C, Iron, Vitamin B ke alawa kai saare Vitamins hote hain jo Hemoglobin level ko increase karne mein kargar hain.

• Ek cup gungune paani mein 2 chammach Kandaali ki sookhi pattiya daal kar pee sakte hain.

• Aap kandaali ki pattiyo ko 10 mintues tak paani mein pada rahne de, Pattiyo ko nichod kar paani mein 1 chammach Shahad milaye. Is juice ko din mein 2 baar pijiye.

10. Blackstrap Gud :- Anemia se ladne ke liye aur Hemoglobin ka level badhaane ke liye Blackstrap Gud ek behad ki kargar gharelu nuskha hain. Blackstrap gud mein Iron, Folate aur Vitamin B hota hain jo Red blood cells ke production ko badhaane mein helpful hote hain. 1 Chota chammach Blackstrap Gud aur 1 chammach Apple Cider Vinegar ko ek cup mein milaye aur use pijiye. Din mein 2 baar iska sewan jaroor kare.

Extra Tips :-


• Blood circulation mein sudhaar laane le kiye din mein 2 baar thande paani se nahaye.

• Gluten wale food ko khane se bache.

• Agar aapki body mein energy ka level kam hain toh Body ke liye zyada Counter Stimulating lene se bache.

• Apne periods aur pregnancy ke dauran Iron wali cheezo ko jaroor khaye.

• Apni diet mein Whole grain bread, Anaaz aur Pasta ko jaroor shamil kare.