Header Ads

Khali pet tulsi wala doodh peene ke fayde.

Doodh mein Tulsi mila kar peene ke fayde. Benefits of Holy Basil Milk in Hindi/Urdu.
Kya aapne kabhi Tulsi ko doodh mein mila kar khali pet piya hain? Ji haan aaj hum aapko Khali Pet Tulsi wala Doodh peene ke fayde batayenge. Benefits of Holy Basil Milk in Hindi/Urdu.

Aaj ke time choti si chhink aane par hum ise door karne ke liye koi dawaai le lete hain. Jisse hame rahat toh mil jati hain, Lekin in medicines ka side-effects bhi kafi hote hain. Saath hi hum in medicines par dependent ho jate hain. Inko khaye bina hamari problems door hi nahi hoti hain.

Kya aapko maloom hain ki hamare buzurg kabhi bhi dawaaon ka istemal nahi karte thay, Ve log Ayurvedic ya phir gharelu nuskho ka istemal karte thay. Isse Bimariyo toh door hi ho jati thi, saath hi unko koi side-effect bhi nahi hote thay. Lekin aaj ke waqt mein hum gharelu nuskhe ko nahi apnate hain. Lekin kuch aise upyogi gharelu nuskhe jo aaj bhi gharo mein istemal kiye ja rahe hain. Unhi mein se Tulsi ka paudha bhi ek hain.

Tulsi ek aisa chamatkari paudha hain, jiska kadha bana kar peene se sardi-jukaam se turant aaram mil jata hain. Lekin kya aap jante hain ki Tulsi ko Doodh ke saath mila kar piya jaye toh yeh kai bimariyo ko door kar sakti hain. Saath hi kai bimariyo ke hone ke khatre ko bhi kam kar sakti hain. Chaliye jante hain Ki Subah khali pet Doodh mein Tulsi mila kar peene se kya fayde hote hain?

Subah khali pet Tulsi wala doodh peene ke fayde :-


• Asthma se bachaye :- Rojana khali pet tulsi wala doodh peene se aap Asthma jaisi problems se chhutkara pa sakte hain. Tulsi aur Doodh mein Antibacterial gun paye jate hain. Jo saans se related problems se nijat dilate hain.

• Bukhaar mein faydemand :- Tulsi ke patte mein Antibacterial aur Antibiotic gun paye jate hain. Jo kisi bhi kism ke bukhaar ko theek kar sakta hain. Ayurveda mein Bukhaar ke mareez ko tulsi ke patto se bana kadha peene ki salah di jati hain. Bukhaar hone par aadha litter paani mein thodi si tulsi ki pattiya aur Elaichi powder daal kar ubaale. Jab yeh ubal kar aadha rah jaye toh Isme Doodh aur Chini mila kar kadha bana le. Ise har 2 se 3 ghante baad pijiye. Isse aapko bukhaar mein jaroor aaram milega.

• Cancer se bachaye :- Tulsi mein Antibiotic aur Antibacterial gun hote hain aur Doodh mein bharpoor nutrients paye jate hain. In dono ko mix karke peene se body ki immunity strong banti hain. Jis wajah se aap Cancer jaisi janlewa bimari se bhi bache rah sakte hain. Saath hi isse aapki rog-prtirodhak kshamta bhi majboot hoti hain. Jiski wajah se aapka sharir kai saari bimariyo se bacha rahta hain.

• Flu se dilaye nijaat :- Tulsi mein mauzood Anti-Inflammatory tatv flu jaisi bimari se ladne mein aapki madad karta hain. Iske sewan se aapko flu nahi ho sakta hain.

• Heart ko banaye healthy :- Agar aapke ghar mein koi heart patient ho toh usay rojana khali pet doodh mein tulsi mila kar jaroor peena chahiye. Isse vah bahut jaldi theek ho jata hain.

• Kidney stone mein faydemand :- Agar aapki kidney mein stone hain toh daily subah khali pet is mishran ko jaroor pijiye. Kuch hi dino mein stone galkar nikal jayegi.

• Depression se bachaye :- Aaj ke samay mein har koi kisi na kisi wajah se depression mein jee raha hain. Kai log itne jyada tension le lete hain ki suicide bhi kar lete hain. Agar aapko ya aapke kisi rishtedaar ko aisi problem hain toh Doodh mein tulsi daal kar jaroor sewan kare ya karaye. Isko peene se nervous system relax hota hain. Iske saath hi yeh stress ke hormones ko control karke depression se bachata hain. Saath hi seer mein ho rahe seerdard ko bhi door karta hain.

Aise Banaye Tulsi wala doodh :-


Sabse pahle ek pan mein doodh ubaale aur usme 3-4 Tulsi ki pattiya daal de. Iske baad ise aap khali pet pijiye.