Header Ads

Khana khane ke dauran paani kyon nahi peena chahiye?

Khana khane ke dauran paani peene ke nuksan. Side-effects of drinking water during eating.
Khane khate waqt hum aksar paani lekar baithte hain. Lekin kya aapko pata hain ki khana khate waqt paani nahi peena chahiye? Kya aap janna chahte hain ki aakhir Khana khate waqt paani kyon nahi peene ki salah di jati hain, toh yeh post jaroor padhe. Why Doesn’t Drink water during eating food?

Khana khate waqt paani na peene ki wajah :-


1. Acidity :- Khana khate samay paani peene se aapko acidity ki problem ho sakti hain. Kyonki khana khate waqt paani peene se pachan tantra kamjor banta hain aur yeh kai saari problems hone ki wajah banta hain. Jab pet paani se bhar jata hain toh yeh gastric juice ko patla karte huye kamjor banana start karta hain. Jiski wajah se pachan enzymes bahut hi kam quantity mein nikalte hain. So apach ki wajah se pet mein acidity aur seene mein jalan hone lagti hain.

2. Gastric Juice ko kamjor karta hain :- Khane ko hazam karne mein gastric juice madad karte hain. Bhojan ke dauran paani peene se Gastric juice kamjor banta hain aur jiski wajah se kuch logo ke pet mein marod padne lagti hain. Natizan lambe waqt tak khana pet rah jata hain, poshak tatvo ko sokhne ke liye Choti antadi mein deri ke saath pahuchta hain.

3. Body mein insulin ki matra ko badhata hain :- Glycemic food ki tarah khane ke dauran paani peene se body mein insulin ka level badh sakta hain. Kyonki paani peene se pachan tantra kamjor ho jata hain aur pachan mein rukavatein aati hain. Isse khane mein mauzood glucose Fat ke roop mein convert ho jata hain, aur baad mein aapke blood sugar level ko badhata hain. Is tarah aapki body mein insulin ki matra badhti hain.

4. Wazan ko badhata hain :- Khana khane ke dauran paani peene se iska direct asar wazan par padta hain. Jaisa ki pahle bhi bataya gya hain ki Khane mein mauzood Glucose Fat mein convert ho jate hain aur insulin ke level ko badha dete hain. Iske alawa Ayurveda ka yeh manna hain ki Kamjor pachan agni Motape ki aham wajah hoti hain. Yeh sharir mein Vaat, Cough aur Pitt tatvo ke beech unbalance paida karta hain aur puri body ke process ko bhi damage kar sakta hain.

5. Mooh mein lar ki matra ko kam karta hain :- Lar pachan ka pahla step hain. Lar mein mauzood Enzymes sirf khane ko chabane mein hi hamari madad nahi karte hain, Balki yeh pet ko pachan enzymes ko paida karne ka sanket bhi deta hain aur pet ko digestion process ke liye taiyaar karta hain. Pani peene se lar paani ke saath ghul jata hain, jiski wajah se pet mein pachan enzymes puri tarah se activate nahi ho pate hain. Isse food ko chabane ke saath saath usay pachane mein bhi mushkil hoti hain.

Khane ko acchi tarah se chaba kar khaye :-


 Khane ko acchi tarah se chabane se mooh ki lar digestion process ko tez karti hain aur yeh iska health benefit hain. Iske alawa acche se chaba kar nigla hua khana jaldi se hazam ho jata hain. Saath hi aap apne khane ko jitna chabayenge aapke mooh mein lar utni hi jyada matra mein paida hogi, jiski wajah se aapko khana khane dauran paani peene ki jaroorat mahsoos nahi hogi.

Khane mein namak ka kam istemal kare :-


 Kyonki Namak body mein paani ki talab ko badhata hain. Isliye apne khane mein namak ki matra ko kam kare de. Jisse aapko na pyaas lagegi aur na hi aapko khane ke dauran paani peene ki jaroorat padegi.