Header Ads

Lahsun ka juice peene ke fayde. (Benefits of Garlic Juice in Hindi/Urdu)

Lahsun ka juice peene ke fayde. Benefits of Garlic Juice in Hindi/Urdu.
Lahsun apne guno ki wajah se jana jata hain, Yeh na sirf India mein balki ki countries mein masale ke roop mein istemal kiya jata hain. Lahsun khane mein ek naya taste deta hain jo bahut se logo ko pasand aata hain.

Lahsun ko apni diet ka hissa jaroor banaye, Iske alawa aap Lahsun ko Juice ke roop mein pee sakte hain. Ji haan Aaj hum aapko Lahsun ka juice peene ke fayde ke baare mein batayenge. Benefits of Garlic Juice in Hindi/Urdu.

Aap is juice ko pijiye aur apne health mein aane wale good changes ko mahsoos kijiye.

Lahsun ka juice peene ke fayde :-


1. Lahsun ka juice doodh mein mila kar rojana subah ke waqt peene se ladies mein hone wale baanjhpan ko door kiya ja sakta hain.

2. Lahsun ka juice khoon ko saaf karta hain aur usay patla banata hain. Jis wajah se blood circulation sahi tarike se hota hain.

3. Garlic Juice kam baalo walo ke liye kisi chamatkar se kam nahi hain. Ise din mein 2 baar kam baalo wali jagah par lagaye aur sookhne de. Isse na sir naye baal ugne lagte hain, balki dandruff aur Jooyein jaisi problems se bhi chhutkara milta hain.

4. Lahsun ke ras ki 10 boonde aur 2 chammach Shahad ko 1 glass paani mein mila kar rojana peene se dama ki bimari mein bahut jyada fayda hota hain.

5. Lahsun ka juice aurton ko healthy rakhne mein help karta hain. Iska rojana istemal Breast ko sahi size aur shape deta hain.

6. Lahsun ke ras ki 20 boonde aur ek glass Anaar ka Juice mix karke peene se kisi bhi tarah ki khansi ko puri tarah se theek kiya ja sakta hain.

7. Lahsun ka juice peene ka sabse bada fayda Cholesterol level ko kam karna aur control karna hota hain. Iska regularly istemal karne se heart attack aur dil ki dusri bimariya hone ka khatra kam ho jata hain.

8. Agar aapka gala kharab ho gya ho toh Lahsun ke juice ko garm paani mein mila kar garare kare, Isse gale ki khich-khich se turant aaram milta hain.

9. Lahsun ke juice ka istemal kisi Zehreele keede ke kaatne par hone wale dard se rahat paane ke liye bhi kiya ja sakta hain.

10. Lahsun ke juice ko pimples se chhutkara paane ke liye direct chehre par lagaya ja sakta hain. Lahsun ke juice ko din ke time chehre par 5 minutes ke liye laga kar rakhna chahiye aur phir uske baad ise paani se dho le. Is upay ko karne se moohase gayab hone lagte hain.

Lahsun ke juice ka istemal karne se pahle ki saavdhaani :-

1. Lahsun ka juice hamesha hi khana khane ke baad hi peena chahiye.

2. Fresh Lahsun ka juice jyada tasty aur health ke zyada faydemand hota hain.

3. Chhila hua Lahsun ya Lahsun ka Juice ko kabhi bhi fridge mein nahi rakhna chahiye.

4. Jhurriyo wala Lahsun ka istemal nahi karna chahiye.

5. Lahsun ko dhoop se bacha kar sookhi aur thandi jagah mein rakhna chahiye.

6. Lahsun ka juice ko skin par din ke waqt aur sirf sookhne tak hi skin par lage rahne dena chahiye varna yeh aapki skin ko nuksan pahucha sakta hain.