Header Ads

Ladies ko Amla powder kyon lena chahiye?

Ladies ko Amla powder kyon lena chahiye?
Ayurveda ke according Ladies ki health seedhe taur par unke periods se judi hui hain. Regular sahi tarah se periods ka aana sirf pregnancy ke liye hi nahi hain. Is process se unhe sharir se zehreele padartho ko baahar nikaalne mein bhi madad milti hain.

Ayurveda mein Amle ka istemal hazaaro saalo se ayurvedic medicine mein kiya jata raha hain. Amla ka istemal karna bhi kafi asaan hain. Aap iska istemal garmiyo ke dauran powder ke roop mein pitt dosh ko kam karne ke liye kar sakti hain. Ise periods ke dauran bhi liya ja sakta hain.

Periods ke dauran Vaat ko balance rakhna jaroori hain. Yeh ek dosh hain jo blood flow ko control karke rakhta hain aur pedu ke nichle hisse mein mauzood rahta hain. Is dauran Amla khane se niyamit roop se maasik dharm chakra hota hain. Saath hi garbhasya mein majbooti aur fertility mein sudhaar hota hain.

Amla khane se digestion system durust bana rahta hain aur Metabolism increase hota hain. Agar mahilayein iska regular sewan karengi toh, Unki skin chamakdaar, Aankho mein chamak, Baalo mein majbooti aayegi aur mood swing nahi hoga.

Ladies ko Amla powder se hone wale fayde :-


1. Periods ke dard mein rahat dilaaye.

2. Yeh Urine infection ki bimari ko door karta hain.

3. Kabz se mukti dilata hain aur pet saaf rakhe.

4. Motapa kam kare aur pet phoolne ki problem door kare.

5. Mental health ko banaye rakhta hain aur Mood swing hone ki bimari ko khatm karta hain.

6. Isme Vitamin C hota hain jo baalo ko ghana aur chamakdaar banata hain.

Kaise kare istemal :-

Amla powder ko garm paani mein ghol kar piya ja sakta hain.