Aleo Vera hain guno ka khazana.
Aloe Vera ek aushdhiya paudha hain ise gwarpatha, Gheekwar aur Dhritkumari ke naam se bhi jana jata hain. Aloe Vera ke juice ka sewan karne se sharir mein hone wale poshak tatvo ko pura kiya ja sakta hain. Aloe Vera mein Jadi-Buti ki tarah kai gun hote hain. Chehre ke liye amrit aur aushdhiya guno ka bhandaar hain Aloe Vera.
Aaiye jante hain Aloe Vera ke guno ke baare mein, Saath hi jante hain Aloe Vera Juice peene ke fayde( Benefits).
- Najle-Khansi mein Aloe Vera ka ras dawa ka kaam karta hain. Iske patte ko bhunkar ras nikal le aur aadha chammach juice ek cup garm paani ke saath lene se Najle-khansi mein fayda hota hain.
- Jalne ya chot lagne par Aloe Vera Gel ya Aloe Vera ko chhil kar lagane se aaraam milta hain. Jali huyi jagah par Aloe Vera Gel ko lagane se chhale bhi nahi nikalte hain aur 3-4 baar lagaane se jalan bhi khatm ho jati hain.
- Aloe Vera ka ras baalo mein lagane se Baal kale, Ghane aur mulayam rahte hain.
- Aloe Vera ka Juice Bawasir, Diabetes aur pet ki preshaniyo se nijat dilane mein madad karta hain.
- Aloe Vera se Muhanse, rukhi tavcha, Jhurriya, chehre ke daag-dhabbo aur Aankhon ke kale ghero ko door kiya ja sakta hain.
- Aloe Vera ganjepan ko bhi door karne ki taqat rakhta hain.
- Aloe Vera ka juice peene se kabz ki bimari door hoti hain.
- Aloe Vera ka Juice peene se sharir mein khoon ki kami ko door kiya ja sakta hain.
- Phati eidiyo par Aloe Vera lagane se bahut jaldi yeh theek ho jati hain.
- Aloe Vera ka Juice Blood mein Hemoglobin ki kami ko door karta hain.
- Aloe Vera ka ras Mehndi mein mila kar baalon mein lagane se Baal chamakdaar aur swasth hote hain.
- Sarso ke tel mein Aloe Vera ke ras ko mila kar seer dhone se pahle lagaane se baalo mein chamak aati hain.
- Aloe Vera ka juice Tavcha mein nami banaye rakhta hain Jisse tavcha swasth dikhayi deti hain.
- Aloe Vera ko sarso ke tel mein garm karke lagane se jodo ke dard ko kam kiya ja sakta hain.
- Tez Dhoop mein nikalne se pahle Aloe Vera ka ras skin par acchi tarah laga lene se skin par sunburn ka kam asar padta hain.
- Aloe Vera ko saundary nikhar ke liye herbal cosmetic products jaise Aloe Vera Gel, Body Lotion, Hair Gel, Skin Gel, Shampoo, Sabun aadi mein bhi istemal kiya jata hain.
Post a Comment