Gende ke phool ke desi nuskhe (Benefits of Marigold Flower)
Genda baag-bagicho, Ghar-aangan aur rasto ke kinare bahutayat mein ugata hua dekha ja sakta hain. Bharat ke jyadatar states mein iske phulo ke liye iski kheti ki jati hain. Kaha jata hain ki devi-devaton ko gende ke phoolo se kafi lagaav hain. Gende ka scientific naam Tagetes hain. Gende ke phool, pattiya aadi anek herbal nuskhe ke taur par upyog ki jati hain. Aaiye jante hain Gende se jude Herbal nuskhe.
Kaan ka dard chala jata hain.
Genda ke patto ka ras kaan mein dala jaye, to yeh kaan ka dard kheech leta hain. Gende ko kuchalkar iska ras taiyaar kare. Is ras ki 2 boondo ko kaan mein dalne se kaan ka dard kam ho jata hain.
Seer ke fode-funsiyo mein araam
Jinhe seer mein fode-funsiya aur ghaav ho jaye, Unhe maide ke saath gende ki pattiya aur phulo ka ras ko mila kar hafte mein 2 baar seer par lagana chahiye. Isse aaraam mil jata hain.
Dama aur khansi door hoti hain.
Sukhe huye gende ke phool ko mishri ke saath khane se dama aur khansi mein kafi aaraam milta hain.
Taalu chikne hote hain
Genda ke patto ko Mom mein garm karke thanda hone par pairon ki bivaai par lagaane se aaram milta hain. Isse taalu chikne ho jate hain.
Bawaasir mein araam
Bawasir ke rogiyo ko Agar gende ke pattiyo ka ras, Kali mirch aur Namak ka ghol pilaya jaye to unhe aaraam mil jata hain.
Sujan Mitati hain
Gende ke phool ki pankhudiyo ko ikattha karke pees liya jaye aur sharir ke sujan wale hisso par lagaya jaye , to Sujan mit jati hain.
Purusho ko shakti milti hain.
Agar genda ke phoolo ko sukhaya jaye aur iske beejo ko ikattha kar Mishri ke daano ke saath barabar matra (5 gram) ka sewan kuch dino tak din mein 2 baar kiya jaye to yeh purusho ko shakti pradaan karta hain.
Purusho ka spermatorrhea theek hota hain.
Jin purusho ko spermatorrhea (Peshab ya tatti karte samay virya nikal jane ki shikayat) ho, Unhe Genda ke phulon ka ras peena chahiye.
Post a Comment