Header Ads

Haldi ke upyog, Nuskhe aur Fayde ( Turmeric use benefits)

HaldiBharat mein sabse jyada upyog hone wale masalo mein haldi top par hain. Iska upyog khane mein swaad badhane aur rang bharne ke liye kiya jata hain. India mein shaadi mein ek rasm "Haldi" bhi hoti hain, Jismein Dulha-dulhan ke sharir par haldi lagayi jati hain. Iske peeche manyta hain ki haldi se rang nikharta hain aur shaadi wale din chehre par ek alag hi glow aa jata hain. Sehat ke lihaj se bhi iska sewan bahut labhkari hain. Aaj hum aapko haldi ke kuch aise hi upyog batayenge.


Umar ghataye :- Haldi chehre par jam rahi unchahi parto ko apne aushdhiya guno dwara kam karti hain aur aapki badhti umar ka pata hi nahi lagne deti hain. 

Upay :- Iske liye aap 3 chammach besan mein ek chauthaai haldi aur paani milakar paste banaye. Paani ki jagah aap kachcha doodh ya dahi bhi daal sakte hain. Chehre par laga kar ise acchi tarah sukhne de. Phir aap gungune paani se halka massage karte huye ise dho le. 


Jhuriyan : - Chehre par pad rahi jhuriyon ke karan aap samay se pahle budhi dikhne lagti hain. Haldi ko aap alag-alag cheezon mein mila kar istemal karenge to aapke chehre par pad rahi jhuriya door ho jayengi aur tavcha damkegi.

Aise kare Haldi ka upyog 

- Kachche Doodh , tamatar ka ras, chawal ka aataa aur haldi ki milakar paste banaye. Ise chehre par lagakar kuch der tak sukhne de. Doodh mein maujood Lactic Acid aapki dead ho rahi skin ko repair karta hain. 

- Chhachh aur ganne ke ras mein haldi mila kar peene se Aankhon ke niche pad rahe kale ghere aur jhuriya khatm ho jati hain. 

- Haldi aur Shahad ka paste banakar chehre par lagane se Skin ke pores (rom ched) khul jate hain. Jisse skin ko bharpoor oxygen milti hain aur tavcha phir se jawan dikhai dene lag padti hain. 

 
Haldi se theek hote hain muhanse aur muhanse ke nishaan

Haldi sirf jalan aur daag ki samsya ko hi door nahi karta hain. Balki yeh chehre par aane wale tel ki matra ko bhi kam karta hain.

Upay

- Haldi wala scrub banane ke liye Haldi mein kuch boonde paani aur Nimbu ka ras milaye. Ise muhanse wali jagah par 15 Minutes tak laga kar chhod de. Halka sa sukhne ke baad paani se dheere-dheere saaf kar le. 


- Haldi aur Chandan ka powder ek saath mila kar chehre par 10 minutes tak laga rahne de. Uske baad saaf paani se ise dho le. Isse bhi daag dhabbe kam honge aur chehre par nikhaar aayega.

-Muhanso ko mitane ke liye aap haldi ka istemal paani ke saath bhi kar sakte hain. Is mixture ko 15 minutes tak chehre par laga  rahne de aur phir dho le. 

- Oily Skin ke liye haldi, chandan powder mein thoda sa Santre ka juice milaye aur 10 minutes lagane ke baad gungune paani se dho le.


Skin ko banaye Be-daag

Stretch Marks -   Mahilaon mein stretch marks ki samsya bahut aam baat hain. Yeh sharir par patli safed lakeere hoti hain. Skin mein khichav aane ki wajah se middle layers ke fibers break ho jate hain, Jo stretch mark ke roop mein najar aane lagte hain. Pregnancy aur Motape ke dauraan stretch marks kuch jyada hi kharab dikhai dene lagte hain. Halaki yeh Nishan khud bhi gayab ho jate hain . Lekin Haldi ke istemal se inhe door kiya ja sakta hain. 

Upay :- Iske liye aapko kachche doodh ya dahi mein besan aur jara si haldi mila kar un nishano par lagana hain


Jalne ke nishan- Rasoi mein khana banate waqt ya phir kisi durghatna ke karan aapki skin jal gyi hain, to haldi ek bahut hi achchi antiseptic hain. Yeh jalan ko kam karne ke saath jalane ke nishano ko bhi mitaati hain. Bas haldi ko alovera gel ke saath mila kar lagaye.

Tavcha ki healing mein faydemand

Facial :- Badlate mausam mein tavcha mein nami rakhne ke liye facial bahut hi jaroori hota hain. khaskar ke sardiyon mein. Facial se tavcha ke rom chhidr (Chhed) khul jate hain. Bharpoor oxygen milne lagti hain, jisse skin par glow bana rahta hain.

Upay ;- Chane ke aate ya sattu mein haldi mila kar ise scrub ke taur par istemal karne se anchahe baalo se chhutkara milta hain. Lekin badhiya natize ke liye ise 1 mahine tak iska istemal karna padega.


Fati aidi ke liye :- Aidiya phatne ka karan calcium hota hain. sardiyon mein yeh aam baat hain.

Upay ;- Nariyal ke tel mein Haldi powder mila kar ise 15 minutes ke liye aidiyo par laga kar chhod de. Uske baad naha le. Kuch hi hafto mein fark nazar aane lagega.