Header Ads

Palak Khane wala vyakti kabhi bimar nahi padta hain.

PalakHari sabziyo ki jab bhi baat aati hain to sabse pahle Palak ka naam aata hain. Jise log Ramban kahte hain. Log kahte hain ki palak khane vala vyakti kabhi bhi doctor ke paas nahi jata hain, Kahne ka matlab yeh hain ki palak khane wala kabhi bimar nahi padta hain. Doctors ke mutabik Palak mein sharir ke liye jaroori Kai tarah ke Amino acid, Folic Acid, Vitamin A, Protein aur Iron tatv bharpoor matra mein paye jate hain. Palak mein Beta Carotene Vitamin ki bharmaar rahti hain. 



Jo aankhon ke liye kafi acchi hoti hain. Palak mein Iron bahut adhik rahta hain, Palak mein mauzood Iron ko sharir dwara asaani ke saath sokh liya jata hain. Isliye Palak khane se blood ke red cells badhte hain. In Red Cells mein Hemoglobin naam ka tatv rahta hain, Jo Iron se banta hain. Khoon ki kami se pidit vyaktiyo ko Palak khane se bahut hi jyada fayda hota hain. Pregnant Mahilaon mein Folic Acid ki kami payi jati hain. Unke liye bhi palak ka sewan labhdayak hota hain. Palak mein Calcium bhi bahut adhik rahta hain. Isliye badhte bacchon, Budhe Vyaktiyo aur pregnant aurto ke liye vah bahut hi faydemand hain. Palak khane se Doodh peelane wali matao ke breast mein doodh adhik banta hain. 


Yahi nahi Palak tavcha aur sharir ke liye accha hota hain. Jo Log baal girne se preshan hain, unhe to roj palak khana chahiye. Jo sharir mein Iron ki kami ko pura karke baalo ko girne se rokta hain. Palak tavcha ko rukhe hone se bachata hain. Palak aankhon mein chamak paida karta hain. Palak ke paste ko chehre par lagane se chehre se jhaaiya door ho jati hain. Isliye mehngi-mehngi dawaaiya khane se accha hain ki aap Palak khayiye Jisse dawaaiya khane ki naubat na aaye.