Header Ads

Mooh ki badboo ko door karne ke asaan gharelu nuskhe aur tarike.

Mouth Bad SmellKabhi-kabhi sharir ko jitne paani ki jaroorat hoti hain, utna paani na peene ki wajah se mooh se badboo aane lagti hain. Jinke mooh se badboo aati hain, Unse baat karne wale vyakti ko na chahte huye bhi unse baat karna padta hain. Kabhi-kabhi to aise logo se log kam baat karna hi pasand karte hain. Yadi aap is samsya se bachna chahte hain to aaiye jante hain kaise bacha jaye is badboo se aur kaise nijat paye mooh ki durgand (badboo) se. Aaiye gaur kare in tips par :-

1. Subah Shaam acchi tarah se brush karna chahiye. 

2. Neem ya babool ki naram daali ka brush bana kar daant saaf karne se moonh ki durgandh (Badboo) door hoti hain. 

3. Elaichi aur Pudine ka bana Paan chabane se mooh ki badboo door hoti hain. 

4. Elaichi chabane se mooh se badboo nahi aati hain. 

5. Dalchini bhi mooh ki durgandh (Badboo ya smell) ko door karne mein madadgar hoti hain.

6. Ek cup paani mein Jeere ke tel ki 2-3 boonde dal kar garare karne se labh hota hain. 

7. Din bhar mein kam se kam 8 se 10 glass paani piye. 

8. Anaar ki chhal ko paani mein ubaal kar isse kulla kare. Labh hoga. 

9. Sukha dhaniya chabane se bhi mooh ki badboo se chhutkara paya ja sakta hain. 

10. Din mein 1 baar sarso ke tel mein thoda Namak mila kar daanto aur masoodho ki malish kare. Dhyaan rahe lar thookte rahe. Isse mooh ekdum saaf ho jata hain.


11. Tulsi ki chaar pattiya roj chabakar kha kar upar se paani peene se mooh ki badboo door ho jati hain.


12. Ek Laung mooh mein rakhkar choosne se bhi labh hota hain.

13. Bhojan ke baad dono samay aadha chammach Saunf chabane se kuch hi dino mein mooh ki badboo khatm ho jati hain aur hajma bhi sahi rahta hain.

14. Subah Neem ya babool ka datun sabse behtar hain. Daatun karne se daant majboot hote hain aur mooh saaf rahta hain aur badboo nahi aati hain.


Keywords :- Mooh ki badboo door karne ke upay, Muh ki smell door karne ke nuskhe, home remedies for mouth bad smell, Mooh ki badboo hatane ke gharelu upay aur nuske in Hindi, mooh ki badboo door karne ke tips, mooh ki durgandh ko khatam (khatm) karne ke nuske, moonh ki badboo, मूंह की बदबू.