Header Ads

Bhutta (Makka) khane ke fayde (Benefits of Sweet Corn)

Makka, Bhutta, Corn khane ke faydeSweet Corn jise aam bol-chal ki bhasha mein Bhutta, Makka, Makai, Makki ya Chhalli kaha jata hain, Ise khane ke bahut hi fayde hote hain. Sweet corn apne meethe swaad ke karan na sirf baccho, balki bado ko bhi pasand aata hain. Ise ubalkar, bhoonkar, paka kar kisi bhi tarah se khana health ke liye bahut hi faydemand hota hain. Bazaar mein asaani se milne wala Bhutta (Makka) ka upyog sabzi ke taur par bhi kiya ja sakta hain. Fibers, Minerals, Carbohydrates, Potassium ki sahi matra liye Sweet corn har tarike se sehat ke liye fayde-mand hain.

Aaiye jante hain Sweet Corn (Makka, Bhutta, Makai) ko khane ke fayde :-

1. Motapa kam karta hain :- Bhutte ko thodi si matra mein khane se hi pet bhar jata hain. Saath hi isse pure din ke liye jaroori nutrients bhi mil jate hain, Jisse baar-baar bhookh nahi lagti. Yeh wajan kam karne mein bahut madadgar hota hain. Iska soup peena bhi utna hi faydemand hota hain.

2. Dil ki bimari door karta hain :- Bhutta Dil ki bimari ko bhi door karne mein sahayak hain, Kyonki isme Vitamin C, Carotenoid aur Bioflavonoid paya jata hain. Yeh cholesterol level ko badhne se rokta hain aur sharir mein khoon ke flow ko bhi badhata hain.

3. Cancer se bachata hain :- Sweet corn mein Beta Cryptoxanthin naam ka chemical hota hain jo kafi hud tak Beta Carotene se milta-julta hain. Ise Body Vitamin A mein badal deti hain. Beta Cryptoxanthin aur Lung Cancer ka opposite relation hain. Matlab sharir mein Beta Cryptoxanthin ki sahi matra hone se Lung Cancer se koso door raha ja sakta hain.

4. Pregnancy mein faydemand :- Iska sewan pregnancy mein bahut hi faydemand hota hain, Isliye garbhvati mahilaon ko ise apne aahaar mein jaroor shamil karna chahiye. Isme Folic Acid paya jata hain, Jiski kami hone se hone wala baccha under-weight ho sakta hain aur kai dusri bimariyo se peedit ho sakta hain. 

5. Aankho ki roshini tez hoti hain :- Sweet Corn mein Anti-Oxidant zeaxanthin hote hain, jo iske peele rang ko banaye rakhte hain, Jisse umar badhne ke saath Aankhon mein hone wali kai tarah ki problems jaise aankhon ka sukhapan, Motiyabind, Aankhon se paani nikalne se chutkara milta hain. 

6. Anemia door kare :- Iron ki kami ki wajah se Anemia ki bimari ho jati hain, Isliye isko door karne ke liye Bhutta khana chahiye, Kyonki isme Vitamin B aur Folic Acid hota hain, Jisse Anemia door hota hain. 

7. Cardiovascular mein faydemand :- Sweet Corn Folate ka bahut hi accha source hain, Jise Vitamin B9 ke naam se bhi jana jata hain. Iski sahi matra sharir mein homocysteine level ko balance karti hain, Jo blood Vessels ko damage karti hain. Isse heart attack ka khatra kafi kam ho jata hain. Rojana Folate ki sahi matra lekar 10% tak Heart attack ke khatre ko kam kiya ja sakta hain. 

8. Energy deta hain :- Ek Adult ko din bhar ki energy ke liye 130 Gram Carbohydrate ki jaroorat hoti hain. Ek cup pake huye sweet corn mein 31 gram Carbohydrate ki matra hoti hain jo physically aur mentally dono ki energy ke liye jaroori hain. Ise instant energy paane ke liye bhi khaya ja sakta hain.

9. Yaddasht tez hoti hain :- Bhutte mein Thiamine bharpoor paya jata hain aur usme mauzood nutrients dimaag ke liye bahut hi jaroori hote hain. Saath hi ise khane se yaddasht bhi kafi acchi ho jati hain aur Alzheimer rog se bacha ja sakta hain. 

10. Pachan kriya sahi rakhta hain :- Pachan kriya ko behtar banane ke liye bhojan mein fiber ka hona bahut hi jaroori hain. Makka mein Fiber bahut hi acchi matra mein paya jata hain. Yeh sirf na pachan ke liye, balki Blood sugar level ko bhi control karta hain, Kabz ki samsya se rahat dilata hain, Saath hi cholesterol ki badhti matra ko bhi control mein rakhta hain. Yeh bharpoor mein fiber se bhara hua hain, Isliye ise khane se pet ka digestion sahi rahta hain. Isse kabz, Bawaseer aur Pet mein cancer hone ki sambhavna door hoti hain. 

11. Haddiya majboot banata hain :- Makai mein Potassium ki sahi matra payi jati hain, Jo Heart function, Muscles par padne wale pressure aur Ainthan ko kam karke haddiyo ko majboot banata hain. Ek cup Sweet Corn mein 325 Mg Potassium ki matra hoti hain. Ise Beans, Aaloo aur Palak ke saath mila kar khane se iske fayde dugne ho jate hain. Bhutte ke peele daano mein bahut saara Magnesium, Iron, Copper aur Phosphorus paya jata hain, Jisse haddiya majboot banti hain. In poshak tatvo se budhape mein haddiyo ke tootne ke chances bahut hi kam rahte hain aur Kidney sahi tarah se kaam karti hain. 

12. Immunity power badhata hain :- Protein doosra aisa nutrient hain, Jiski sharir ko sabse jyada jaroorat hoti hain. Iska kaam cells ko baahri toot-foot se bachana, Muscles banana aur Immunity power ko badhana hain. Sweet Corn mein Protein bharpoor matra mein paya jata hain. Purusho ko rojana 56 Gram aur Mahilaon ko 46 Gram protein ki jaroorat hoti hain, Jise sirf ek cup sweet corn kha kar asaani se pura kiya ja sakta hain. 

13. Gurde ki kamjori ko door karta hain :- Taaze bhutte paani mein ubalkar oos paani ko chhankar mishri mila kar peene se peshab ki jalan, Gurde ki kamjori door ho jati hain. 

14. Taaze Doodhiya (Safed) Bhutto ke daane pees kar shishi mein bharkar khooli shishi ko dhoop mein rakhe. Isse eh doodh jaisa ban jayega. Ise dhoop mein rakhne se doodh sookh kar ud jayega aur sirf tel shishi mein rakh jayega. Chhan kar Tel ko shishi mein bhar le aur Malish kare. Kamjor baccho ke pairo par malish karne se baccha jaldi chalne lagega. 

15. Jawan banaye rakhta hain :- Makka mein mauzood Anti-Oxidants ki matra Skin ko jawan banaye rakhne mein madad karti hain. Isme kai aise gun hote hain, to tavcha ke kasaav ko lambe samay tak banaye rakhte hain. Khane mein sweet corn ko shamil karke asamay hone wale budhape ki samsya ko roka ja sakta hain. Corn mein Anti-Oxidants paye jate hain, jisse skin lambe samay tak jawan dikhaai deti hain. Isko lagatar khane ke alawa iska tel lagayiye. Jisme Linolic Acid paya jata hain. Iske alawa Skin Rash aur Khujali ke liye bhi Bhutte ka starch istemal kiya jata hain, Jisse skin bahut hi komal ban jati hain.