Header Ads

Shukranu ki sankhya badhane ke tips (Tips for increasing Sperm count)

Sperm CountShukranu ki sankhya kaise badhaye, Sperm count ko badhane ki tips kya hain ? kya aap in sabhi ke baare mein janana chahte hain. Modern lifestyle ka khamiyaza purusho ko apne shukranoo ki sankhya (Sperm count) ko kho kar chukana pad raha hain. Isse unki fertility capacity prabhavit ho rahi hain aur sperm ki gunvatta bhi kam huyi hain. Britain mein huye ek research mein modern lifestyle ke karan purusho ki prajanan kshamta par ho rahe negative asar ka khulasa hua hain. Study se behad chintajanak aankde samne aaye hain ki aaj se 50 saal pahle purusho ke ek Milliliter Semen  mein Spern count ki sankhya 11 Crore 30 Lac thi jo ki saal 1988 mein ghatkar 6 Crore 20 Lakh rah gyi aur aaj yeh matra 4 Crore 70 Lac rah gyi hain.

Badhta tanaav, Motapa, Kharab lifestyle aur pollution world ke mardo ke liye khatre ke bade sabab sabit ho sakte hain. Yeh baad purusho ke liye kisi bade sadme se kam nahi hain, Lekin situation ko abhi bhi sambhala ja sakta hain. Agar purush apni habits mein kuch sudhaar kar le to jaroor hi veh baap banane ke kabil ho jayenge.

Kisi bhi nashe aur macho man banane ke chah mein li jane wali dawaiyo ke istemal par rok lagane, Galat khan-pan, Diet mein badlaav lane, sharir ka tapman ko kam karne, caffeine ke kam istemal aur mobile ka istemal kam se kam karne se shukranu ko hone wale nuksaan ko kam kiya ja sakta hain aur sperm count ko badhaya ja sakta hain. In upay ko apnakar acchi matra mein high quality wale sperm ko banna possible kiya ja sakta hain.

Sperm count ko badhane ki tips aur upay :- 

1. Healthy Weight banaye rakhe :- Sharir  na jyada dubla hi ho aur na jyada mota, Kyonki sharir ka wajan hi Estrogen aur Testosterone ke level par asar dalta hain.

2. Jyada chust underwear na pahne :- Yadi aap kasi ya choost underwear ya pant pahnenge to Andkosh (Prostates) sahi matra mein shukranoo ka production nahi kar payega aur sperm ki ginti kam hogi. Jab aapko kanhi jyada der tak ke liye baitha rahna padta hain to tight underwear na pahne.

3. Jyada Lubricant na use kare :- Jyada Lubricant ke use se bache veh bhi shukranoo ke maut ka karan ban sakta hain.

4. Steam bath se bache :- Hafte mein ek baar sauna bath aur garam paani se nahana theek hain, lekin 40 degree se ya phir usse adhik temperature tak ka bhaap aur garam paani aapke sperm count ko kam kar sakta hain.

5. Rojan kasrat kare :- Daily exercise karne se motapa aur tanaav kam hoga aur yeh pure sharir ko healthy banayega. Jyada hard exercise aur training program se bache.

6. Mobile ko pocket mein na rakhe :- Mobile ya phir tablet aur Laptop ko apni pocket mein ya phir apni jaangh par na rakhe. Apne andkosh (Prostates) ko inme se nikalne wali garmi se bachaye.

7. Na piye jyada coffee :- Roj ek ya do cup se koi fark nahi padega jitni rojana bhari matra mein coffee peene se padega. Isse sperm ki gatisheelta kharab ho jati hain.

8. Smoking chhode :- Experts ka kahna hain ki smoking mardo mein sperm count ko kam kar deti hain aur unki quality bhi kharab kar deti hain, Isliye ise chhodna accha hain. Isse gurde ko blood supply kam ho jati hain aur blood pressure badh jata hain.