Header Ads

Garm paani mein pair dubo kar rakhne ke fayde.

Garm paani mein Pair dubone  ke fayde. Benefits of Hot water for foot in Hindi/Urdu.
Imagine kijiye Jab aap bazaar se shopping karke aaye ya phir koi office se kaam karke thake haare ghar aaye aur koi aapke liye garm paani ka tub aapke pairo ke neeche rakh de aur phir aap usme apne pair duboyenge to aapki saari thakaan chhoo mantar ho jayegi. Ji haan, Garm paani mein pair doobene ke bahut fayde hote hain.

♦ Aapko kya karna hain :- Aapko sirf yeh karna hain ki ek balti mein garm paani bhariye aur  usme thoda sa  namak mila kar pairo ko dooba lijiye. Kai log raat ko sone se pahle pairo ko garm paani mein doobote hain, Jisse unhe  acchi neend aa sake.


♦ Pairo mein hone wala dard door kare :- Ji yeh baat bilkul sach hain ki Pairo ko garm paani mein dubone se sharir ki saari thakaan door ho jati hain, aur isse sehat ko aur bhi fayde hote hain. Pairo ko garm paani mein doobone se  muscles ki thakaan mitati hain, dard aur sujan se bhi rahat milti hain.


♦ Subah ko pair doobone ke fayde ;- Subah ke waqt garm paani mein pair doobone se energy badhti hain. Raat bhar ek hi position mein sone se blood circulation dheema ho jata hain. Isliye agar aap subah ke waqt apne pairo ko garm paani mein doobote hain to aap pahle se kai guna zyada fresh feel karte hain.


♦ Raat ya shaam ke waqt pair doobone ke fayde ;- Lekin sabse accha waqt foot ko hot water mein doobone ka hota hain shaam 5 baje se lekar 7 baje tak. Is dauran aapki kidneys ki energy badhti hain aur khoon ka sanchar tez  hota hain. Aisa karne ke baad apne pairo ke talwo ko tel  se maalish kare, Khas taur par aidiyo ki maalish jaroor kare.


Garm paani mein kya milana chahiye? 


Agar aapko gathiya ki bimari hain to Dalchini ya Kali Mirch paani mein daal sakte hain. Pairo ki thakaan ko door karne ke liye aur khud ko relax feel karwaane ke liye Lavender Oil ya Rosemary Oil bhi mila sakte hain.



Kin logo ko pair nahi doobone chahiye?


Jin logo ko Low Blood pressure ki shikayat ho, Unhe garm paani mein pair doobone se behoshi aa sakti hain. Diabetes ke mareezo ko isse bachna chahiye kyonki garm paani se pairo ki skin jal sakti hain. Agar aapko bahut zyada bhookh lagi ho tab bhi aapko apne pair  nahi doobone chahiye. Jyada khana khane ke baad bhi pairo ko garm paani mein nahi doobona chahiye.