Header Ads

Jeera aur Gud ka bana paani peene ke fayde.

Jeera aur Gud ka paani peene ke fayde. Benefits  of Cumin & jaggery Water in Hindi/Urdu.
Jeera hamare khane ko tasty banata hain aur Jeere ka istemal karne se hamara bhojan aur bhi jyada tasty aur khusboodaar ho jata hain. Bina jeere ke tadke wali daal, rayta aur sabzi ka swaad mano feeka hi rahta hain. Jeera aur Gud dono hi hamare khane ka important cheeze rahi hain. Lekin kya kya aapko pata hain ki Jeere aur Gud se bana paani aapke sehat ke liye bahut hi faydemand hota hain. Gud aur Jeere ka paani aapko aur aapki family ko kai saari bimariyo se bhi bacha sakta hain. 

Jeere aur Gud ka Paani banane ki vidhi  :- (Kaise banaye Jeera aur Gud ka paani, Recipe of Cumin and Jaggery Water in Hindi/Urdu.) 


Ek bartan mein 2 cup paani daale aur Isme ek chammach Gud ka choora aur Ek chammach Jeere ko mila kar, Ise acchi tarah ubaale. aur baad mein Ise kisi cup mein daal kar aap is paani ko piye. 

Jeere aur Gud ka paani kab peena chahiye?


Is paani ko roj subah ke waqt nashte se pahle ek cup peena chahiye. 

Jeere aur Gud ka paani peene ke fayde :- 


1. Periods ko regular kare :- Isko peene se ladies  ki body mein hormones unbalance ko sahi kiya ja sakta hain. Jis wajah se yeh period ki problems ko door karta hain. Yeh period ke dauran hone wale tez dard se bhi rahat deta hain. 


2. Anemia se bachaye :- Jeera aur Gud dono hi poshak tatvo se bharpoor  hote hain, Inme Minerals bharpoor matra mein hote hain, Jo red blood cells ko healthy rakhne ke liye bahut hi jaroori hain. Is tarah ka drink peene se aap anemia ki bimari se bache rah sakte hain. To jaroor pijiye Jeere aur Gud ka paani.


3. Pet ki takhleefe door kare :- Jeere aur Gud ka mixture Acid ke asar ko bey-asar kar deta hain, Jiski wajah se pet mein gas banna, Pet phoolna aur Acidity door hoti hain. 


4. Kabz hone se roke :- Ayurveda mein bataya gya hain ki is paani ko peene se kabz mein araam milta hain aur yeh kabz  ko rokne mein kafi madadgar hota hain, Kyonki isko peene  se mall tyaag ki prakriya normal banti hain. 


5. Body ka pain kam kare :- Jeere aur Gud mein aise gun paye jate hain jo blood circulation ko badhate hain aur sharir ke dard ko door karte hain. Jeera aur Gud ka paani peene se aap Kamar dard, Jodo ke dard aadi takhaleefo se nijat pa sakte hain. 


6. Body ka temperature kam kare :- Yeh natural drink sharir ke temperature ko kam karta hain aur body ke temperature ko normal banata hain. Jisse fever, headache aur jalan aadi se rahat milti hain. 


7. Immune system majboot banaye  :- Jeera aur Gud natural guno se bhare huye hote hain, Jo sharir ki gandagi ko saaf karte hain aur hamare body ke immune system ko majboot banate hain. Peeth dard ho ya kamar ka dard, Gud aur Zeera ka paani peene se aapko in sabhi problems se nijat mil jati hain. 


8. Sardard se rahat dilaye :- Seerdard se preshan hain to Gud aur Jeere ka paani aapko jaroor peena chahiye. Isse seerdard se chhutkara milta hain aur agar bukhaar bhi ho to veh bhi door ho jata hain. 


9. Body ko detox kare ;- Jeere aur Gud ka yeh mixture natural body detox ki tarah kaam karta hain yani ki sharir se zehreele tatvo ko bahar nikaal  deta hain aur aapke sharir ki androoni safai karta hain. Jisse aap healthy bane rahte hain.