Kalonji (Mangraila) ke tel ke fayde (Benefits of Nigella Seeds Oil)
Kalonji (Kalaunji) jise Mangrela, Mangraila (Nigella, Black seeds) bhi kaha jata hain iske bahut hi fayde hain, saath hi iske Tel ke bhi bahut fayde hain. Hamare aas-paas aisi bahut saari cheeze hain, jinhe sahi tarike se kha kar lambe samay tak healthy raha ja sakta hain. Phalo aur sabziyo se lekar masalo mein bhi aisi bahut saari cheeze hoti hain jo sehatmand rakhne mein kargar hoti hain. Inhi mein shamil hain Kalonji (Mangraila) jisme bahut saare nutrients aur minerals hote hain. Iron, Sodium, Calcium, Potassium, Fiber aur Phosphorus se bharpoor Kalonji kai tarah ki bimariyo ka ghar baithe ilaj hain. Lagbhag 15 Amino acid wala Kalongi sharir ke liye jaroori protein ki bhi purti karta hain.
Kalonji (Kalaunji, Mangrella, Mangraila, Mangrela) ke tel se hone wale faye :-
1. Baalo ko jhadne se roke :- Unhealthy lifestyle, stress jaisi samsyaon se mahila ho ya purush, dono ke baal girane ki samsya aam ho chuki hain. Iske liye tamam kism ke treatment karane par bhi fayda nahi hota hain. Lekin ghar mein mauzood Kalonji is samsya se nipatne mein bahut hi kargar sabit hoti hain. Seer par 20 minutes tak Nimbu ke ras se massage kare aur phir acchi tarah se herbal shampoo se dho le. Iske baad Kalonji ka tel baalo mein lagakar ise acchi tarah se sukhne de. Lagatar 15 dino tak iska istemal karne se baalo ke girne ki samsya door ho jati hain.
Kalonji oil, Olive Oil aur Mehndi powder ko mila kar halka garm kare. Thanda hone de aur hafte mein 1 baar iska istemal kare. Isse ganjepan ki samsya bhi door hoti hain.
2. Wajan kam karta hain :- Wajan badhne ki samsya se purush se lekar mahila sabhi preshan hain. Kalonji ke tel ki kuch boonde Shahad mein mix kare aur din mein 2 baar gungune paani ke saath piye. Lagatar istemal se jaldi hi fayda dekhne ko milega.
You may also like :- Motapa door karne ke gharelu upay
3. Diabetes se bachata hain :- Kalonji ka istemal Diabetes jaisi khatrnaak bimari se bhi bachata hain. Lagatar 1 mahine tak Ek cup Black tea mein aadha chammach Kalonji ke tel ko milakar peene se diabetes ki sambhavna ko kafi hud tak kam kiya ja sakta hain. Subah uthate hi aur raat ko sone se pahle iska istemal jyada faydemand hota hain.
4. Pimple ki samsya door kare ;- Pimple ki samsya ko door karne ke liye Nimbu ke ras aur Kalonji ke tel ko mix kare. Subah-shaam pimple par ise lagaye. Yeh keel-moohanse door karne ke saath hi chehre ke daag-dhabbe mitata hain. Iske istemal se chehra glow karne lagta hain.
5. Memory power badhata hain :- Kaloji dimaag ke kaam karne ki shakti ko bhi badhata hain. Pudine ki pattiyo ko ubaale aur usme thoda sa Kalonji ka tel mix kare. 20-25 Dino tak din mein 2 baar ise peene se iske fayde aapko nazar aayenge.
You may also like :- Brain Memory power ko badhane ke gharelu upay
6. Sirdard ko door kare :- Kalonji mein sirdard ka ilaj mumkin hain. Iske tel se seer aur kaan ke aas-paas malish karne se sirdard ki samsya door hoti hain. Kalonji ke tel ko rojana use karne se Migraine ki samsya door hoti hain.
7. Asthma ka ilaj :- Asthma aur kisi bhi tarah ki saans se related bimariyo ke ilaj mein kalonji kargar hain. Iske liye ek cup garam paani mein Shahad aur Kalonji tel ki kuch boonde mix kare. Subah-subah ise peene se Asthma bimari theek hoti hain, saath hi cough aur allergy ki samsya bhi door hoti hain.
8. Jodo ke dard mein aaram :- Aadha chammach Kalonji ke tel, Vinegar aur Shahad ko ek saath mila kar din mein 2 baar jodo ke dard wale hisse par lagaye. Dard mein aaram milne ke saath hi Arthritis ki samsya bhi door hoti hain.
You may also like :- Arthritis hone ke karan, lakshan aur iska ilaj
9. Aankho ki roshini :- Kalonji ka tel aankho ki roshini theek rakhne aur aankhon ki kai tarah ki bimariya jaise Aankho ke lal hone, Motiyabind aur aankho se paani aane ki samsya ko door karta hain. Gajar ke ras mein kalonji ke tel ki kuch boonde mila kar peena chahiye.
You may also like :- Aankhon ki roshini badhane ke liye best food
10. Blood pressure kare control :- Kalonki ka tel blood pressure ko bhi control karta hain. Din mein 2 baar chaay (Tea) mein iske tel ki kuch boonde mila kar peene se bahut hi jyada fayda hota hain.
11. Cancer se bachaav :- Blood Cancer aur Aanto se lekar gale ke cancer tak ko door karne mein Kalonji ka tel bahut hi faydemand hota hain. Khas taur par Angoor ke juice ke saath mila kar ise peene se bahut hi jyada fayda milta hain. Ise din mein 2 baar peena chahiye.

Post a Comment