Header Ads

Dhaniya Powder ke fayde (Benefits of Coriander Powder)

Dhaniya powder ke fayde ya phir Sabut Dhaniya ke fayde bahut hi adhik hain. Bharat ke newspaper ho ya magazine ka column, sabhi mein health & beauty ke baare ko lekar kafi kuch likha jata hain, western countries mein aisa kam dekhne ko milta hain kyonki Bharat mein jadi-bootiyo aur aushdhiyo par jyada bharosha kiya jata hain. Yaha paai jane wali Jadi-bootiyo ko RamBan mana jata hain. Example ke liye aap Dhaniya Powder ko hi le lijiye. Isme kai healthy gun hote hain. Yeh natural Masala hain jo sharir mein kai vikaar door karta hain aur usay healthy banata hain. Ise nature ka gift kahe ya medicine, Isse human body ko kafi benefits milte hain.

Agar Dhaniya powder ka nutrients chart dekha jaye to isme 8% Fiber, 2.9% Calcium aur anya gunkari tatv paye jate hain. Hamare khane mein Dhaniya bahut hi sehatmand masala hota hain.Yeh Anti-Diabetic bhi hota hain, isi karan Europe ke kai desho mein ise Anti-Diabetic paudhe ke naam se bhi jana jata hain. Dhaniya ke anya gunkari baato ke baare mein janiye ;- 

1) Blood sugar ko control karta hain :- Dhaniya mein blood sugar ko control karne ki capacity hoti hain, Aisa duniya bhar ke serve-reports mein bataya gya hain. Dhaniya powder body se sugar level ko kam kar deta hain aur insulin ki matra ko badhata hain, jisse sharir mein blood sugar hamesha control mein rahti hain. 

2) Salmonella Bacteria ko khatm karta hain :- Dhaniya, Salmonella bacteria ko khatm kar deta hain. Is becteria se food poisoning jaise ghatak rog ho jate hain. Agar aap khane mein Dhaniya powder ka istemal karte hain to is bacteria ke paida hone ka khatra kafi kam ho jata hain aur aap aisi bimariyo se lad sakte hain. 

3) Ek jadi-booti ;- Dhaniya ek jadi-booti ka kaam karti hain. Yeh ek herb hoti hain jiske anek gun hain. Dhaniya mein Volatile Oil hota hain jo kafi labhkari hain. 

4) Cholesterol ko kam karta hain :- Dhaniya mein aise tatv hain jo sharir se cholesterol ko kam kar dete hain ya phir unhe control mein rakhte hain. Research ke anusaar Dhaniya ke beejo mein Cholesterol ko maintain karne ke tatv hote hain. Agar koi vyakti High Cholesterol se peedit hain to usay Dhaniya ke beejo ko paani mein ubaal kar, Phir paani ko thanda hone ke baad chhan kar peena chahiye. 

5) Infective rogo par asardar :- Infective rog jaise Chicken Pox aadi mein Dhaniya powder madadgar hota hain. Agar aap Dhaniya powder ka lagatar sewan karte hain to aap aise sankramak rogo se hamesha bach kar rahenge. In daano par Dhaniya powder ko lagane se germ mar jate hain aur thandak bhi milti hain.

6) Daano aur moohaso ko kam karta hain :- Dhaniya powder ko paani mein ghol kar lagane se phoda-funsi, daane aur pimples mein aaram milta hain. Iski taseer thandi hoti hain, jiske chalte ise lagane se thandak milti hain aur daane vahi ke vahi baith jate hain.

You may also Like :- Moohase door karne ke gharelu Upay aur nuskhe

7) Aniyamit Periods ki samsya ko door karta hain :- Acche masalo mein acche swasthvardhak gun hote hain. Aisa hi ek masala Dhaniya Powder bhi hain. Agar koi mahila ya ladki Dhaniya powder ka niyamit sewan kare to usay Masik dharm (Periods) se judi samsya nahi hogi. Periods ke dauraan jyada bleeding hone par Dhaniya powder ka sewan faydemand hota hain. Ya phir Dhaniya ke beejo ko gungune paani mein ubaal kar peene se aaram milta hain.

You may also Like :- Periods ke dauran kya khana chahiye

 
8) Jhurriya door karta hain :- Dhaniya powder ya Dhaniya ki pattiya, Jhurriyo ko kam karti hain. Inme Anti-Oxidants kafi matra mein hota hain jiske chalte ise lagane se tavcha mein khichaav aa jata hain. Ise lagane se chehre par koi daag nahi padta hain.