Header Ads

Moohanse door karne ke gharelu upay (Herbal Remedies for Pimples)

PimplesAajkal Muhase hona ek aam baat hain, agar aap Muhase (Pimples) ko door karne ke liye gharelu ya herbal upay doodh rahe hain to is post ko padhakar aapko fayda hoga. Yuva aajkal apne looks par aajkal kuch jyada hi dhyaan dene lage hain aur unhe apni skin aur chehre ki sundarta ko lekar badi chinta bani rahti hain.

Yuva asvastha ke dauran tezi se hone wale hormone changes ke karan unhe chehre aur skin se related kai tarah hi problems ka samna karna padta hain. Jisme moohanso ki samsya (Acne / Pimples problem) badi aam samsya hain. Jiske liye vah bazaar mein milne wali tamam tarah ki creams aur dawaaon ka istemal karte hain, Lekin jab iska result positive nahi milta hain to bahut jyada preshan ho jate hain. Chehre par Moohase na sirf looks ko bigadte hain balki confidence level ko bilkul hi down kar dete hain. Pollution, Stressful life, Mausam mein badlaav aadi muhaso ke hone ka karan ho sakte hain. Chaliye aaj hum jante hain muhaso ko door karne ke liye kaun se herbal nuskhe apna sakte hain. 

keywords for google search :- Pimples door karne ke gharelu upay aur nuskhe, Acne home remedies, Moohase door karne ke liye gharelu upay, Home remedies for pimples in Hindi, Muhase door karne ke liye, Moohase (moohanso) ka ilaj, Moohaso ka ilaj (upchar) in Hindi. moohase door karne ke tarike (tips). Pimples door karne ke tarike.

Tulsi ki pattiya :- 

Tulsi ki 15-20 tazi hari pattiyo ko lekar ek cup paani mein dala jaye aur 10-15 minutes tak ke dheemi aanch par rakh diya jaye, Kadha ban jayega. Is kadhe ko thanda hone par ise muhaso par din mein 4 se 5 baar lagaya jana chahiye, Isse araam milta hain.


Gwarpatha jise AloeVera bhi kaha jata hain, Iski tazi patti ki uppari satah ko chhilne par ander ek Gel milta hain. Is Gel (5 gram) ko nikaal kar isme 1 gram Besan aur chutaki bhar Haldi mila li jaye aur Moohanso par lagaya jaye to Muhase baith jate hain aur jaldi aaraam milta hain.

Garam paani ki bhaap 

Chehre ki tavcha ko saaf paani se dho le aur is par cotton se Nimbu ka ras lagaya jaye to Chehre ke pores se oil aur dead skin ko asaani se hataya ja sakta hain, Jisse skin aur jyada khoobsurat najar aayegi. Kuch herbal expert chehre par garam paani ki bhaap lene ki salah dete hain. Inke anusaar ek chaude bartan mein khaulta hua paani daal diya jaye aur pure seer par tauliya daal kar khaulte paani se nikal rahi bhaap ko chehre ke contact mein laya jaye to pores mein jami gandagi aur oil bahar nikal jate hain. Kuch der baad chehre ko cotton se halka-halka ragadkar saaf kar liya jaye aur phir chehre par Nimbu ka ras lagaya jaye. To bahut jald fark nazar aane lagta hain. Hafte mein kewal ek baar aisa kiya jana hi kafi hain, Muhase jald theek ho jate hain aur saath hi chehre ke daag-dhabbe bhi mit jate hain. 


Kakdi ka ras 

Kakdi ko chhil kar isko mixture grinder mein daalkar iska Juice nikaal le. Is ras ko chehre par lagane se kafi araam milta hain. Experts ke anusaar har roj 3-4 cup agar Kakadi ka juice piya jaye to bahut jaldi aaraam milta hain.  

  
Neem ki pattiya 

Neem mein Anti-bacterial, Anti-Viral aur Anti-Fungal gun paye jate hain aur herbal experts ke anusaar agar har roj 5-10 Neem ki tazi pattiyo ko chabaya jaye to Skin aur blood se related kai tarah ki problems se rahat milti hain. Lagatar sewan karne se chehre par tazagi ke ilawa Immunity system sahi bana rahta hain. Chehre par hone wale muhase, black heads aur daag-dhabbe mit jate hain.

Kachcha Lahsun ;- 

Kacche lahsun ko kuchal kar muhaso par lagane se bacterial infection khatm hota hain aur aaram milne lagta hain. Lahsun mein Anti-Bacterial gun paye jate hain.

Besan 

Chehre par Sabun ke istemal ki bajaye besan lagana chahiye. Haathon mein thoda sa besan lekar isme halka sa paani mila kar paste taiyaar kar le aur is paste ko sabun ki tarah chehre par lagaye. Besan ka halka sa khurdurapan band pores ko kholne mein madad karta hain. Aur chane ke anti-bacterial guno ki wajah se rom (pores) mein mauzood bacteria khatm ya mar jate hain.


Ajwain :- 

Aadha-Aadha chammach Ajwain daane, Dhaniya ke daane aur Saunf ko lekar 2 cup paani mein dalkar 10 minutes tak dheemi aanch par ubaale aur ise chhankar rojana subah, dophar aur shaam ko chaaye ki tarah piya jaye to muhanso se jald hi chhutkara milta hain.