Calcium ki kami ko door karne ke upay (Tips for Cure Calcium deficiency)
Calcium ki kami ko door karne ke liye gharelu nuskhe ya Tips kya hain? Calcium ki kami ko door karne ke liye kya khana chahiye ya phir aapke liye Calcium se bharpoor bhojan (Diet) kaun sa hain ? Calcium sabse jyada kisme paya jata hain? agar aap bhi inhi swaalo se preshan hain to yeh post jaroor padhe. Modern lifestyle aur Sugar se bharpoor padartho (Chocolate, Cake, Cold drinks aadi) ke karan Calcium ki kami aam samsya hoti ja rahi hain. Aajkal kewal budhe hi nahi balki Jawan bhi iski kami ka shikar ho rahe hain. Saalo tak Calcium ki dawaa kha kar bhi iski purti nahi ho pati, Kyonki sharir ke liye natural roop se Calcium hi sabse best hota hain. Chaliye jante hain aisi cheezo ke bare mein jinke niyamit sewan se kabhi calcium ki kami nahi hoti hain.
1. Pattedar Sabziya :- Adhikansh Hari pattedar sabziyo mein Calcium bharpoor matra mein paya jata hain, Palak, Gobhi, Ajwain, Mashroom ko salad ke roop mein lena bhi labhdayak hota hain.
2. Phalliya :- Phallidar Sabziya sharir ke liye behad labhdayak hoti hain. Inse sharir ko protein ke saath hi Calcium bhi prapt hota hain.
3. Doodh :- Doodh Calcium ka sabse accha source hain. Isse na sirf baccho ko balki bado ko bhi sahi matra mein Calcium milta hain. Doodh se milne wala calcium sharir asaani se pacha pata hain. Saath, hi ise jaldi observe bhi kar leta hain. Isliye sharir mein doodh ke rahi pahuchaya gya Calcium adhik faydemand hota hain.
4. Dahi :- Dahi mein bhi adhik matra mein Protein paya jata hain. Dahi ke ek bowl mein 400 mg Calcium hota hain. Fat rahit Dahi sharir ke liye adhik faydemand hota hain. Dahi ke alawa doodh se bane other products jaise Paneer, Cheese aadi mein bhi Calcium pryapt matra mein hota hain.
5. Jadi-bootiya aur masale :- Tulsi, Ajwain ke phool, Dalchini, Pudina, Lahsun jaisi Jadi-bootiya aur Masale na sirf khane ko special kism ka flavor aur taste dete hain, Balki inke sewan se Calcium bhi prapt hota hain.
Post a Comment