Header Ads

Kele ke chhilke ke gharelu nuskhe aur fayde (Benefits of Banana Skin)

Kele ke chhilke ki photoKele ke chhilke (Chhilko) ke gharelu nuskhe aur fayde bahut hain. Kahte hain ki mausami phal koi bhi ho, vah health ke liye bahut hi faydemand hota hain. Lekin mausami phal ko bhojan karne ke baad hi khana chahiye. Kela bhi ek aisa hi phal hain, Jo Vitamin, Protein aur anya poshak tatvo se bharpoor hain. Vaise to Kela saal ke 12 mahino tak bazaar mein uplabdh rahta hain, Lekin barsaat ke mausam mein yeh vishesh labhdayak hota hain.

Roj ek Kela khane se anek fayde hote hain, Lekin kya aap jante hain ki Sirf Kela hi nahi, Iska Chhilka bhi bahut upyogi hota hain. Yadi aap Kela kha kar uska Chilka phenk dete hain, to aisa mat kijiye. Aaj hum aapko batane ja rahe hain Kele ke chhilko ke fayde ke baare mein :- 

1. Kele ke chhilko ko halke haatho se chehre par 5 minutes tak ghisne se pimples door ho jate hain. 

2. Iske Chhilko ka paste bana kar lagane se chehra glow karne lagta hain. 

3. Kele ke chhilke ko daanto par ragadne se daant chamakne lagte hain. 

4. Jab koi Keeda kaat le to oos jagah par Kele ke chhilko ko pees kar lagane se aaram milta hain.

5. Psoriasis hone par Kele ke chhilko ko pees kar lagaye. Isse daag bhi chale jate hain aur aaram milta hain. 

6. Thakaan mahsoos hone par Kele ke chhilke ko thodi der aankho par rakh le, rahat milegi. 

7. Leather bag, Belt aur shoe dull dikhne lage ho, to oon par Kela ka chhilka ragadne se unme chamak aa jati hain. 

8. Yadi aap jhurriyo se preshan hain to Ande ki jardi mein Kele ke chhilke ko mila kar lagaye. Isse jhurriya khatm ho jati hain. Iska paste chehre par 5 minutes tak lagaye. Phir chehra dho le. 

9. Yadi sharir mein kanhi bhi dard ho to Kele ka chhilka oos jagah par laga kar 30 minutes tak chhod de, dard se rahat milegi. 

10. Masso par niyamit roop se Kele ka chhilka ragadne se masse jhad jate hain.

You Might also Like :-