Header Ads

Shahtoot khane ke fayde (Benefits of Mulberry)

Shahtoot ke phal ki photoShahtoot khane ke fayde bahut hain. Shahtoot ke khas aushadhiya gun hain jo looh se nipatne ke liye iska khoob  istemal kiya jata hain. Aaj hum aapko batayenge Shahtoot ke ped ke baare mein jo hame Meethe aur khatte phal to deta hi hain. Saath hi is ped ki pattiya aur tane ka upyog anek herbal nuskhe ke taur par bhi kiya jata hain.

Aaiye jante hain Shahtoot khane ke fayde (Benefits of Mulberry) :- 

1. Sun Stroke se bachata hain

Herbal experts garmi ke dino mein Shahtoot ke phalo ke ras (Mulberry's Juice) mein Chini mein mila kar peene ki salah dete hain. Unke anusaar Shahtoot ki taseer thandi hoti hain, Jiske karan garmi mein hone wale stroke se bacha ja sakta hain.

2. Aankhon ki roshini badhata hain.

Shahtoot ko English mein Mulberry kaha jata hain. Iska Scientific naam Morus Alba hain. Jungles ke alawa ise sadko ke kinaaro aur baag-bagicho mein dekha ja sakta hain. Shahtoot ke phalo ke ras ke sewan se aankhon ki roshini tez hoti hain aur iska sharbat bana kar bhi piya jata hain. 

3. Pet ke keede marta hain 

Shahtoot mein Vitamin A, Calcium, Phosphorus aur Potassium adhik matra mein paye jate hain. Iske sewan se baccho ko jaroori nutrients to milte hi hain, saath hi yeh pet ke keedo ko bhi khatm kar deta hain. 

  
4. Thakaan door karne mein kargar

Garmiyo mein baar-baar pyaas lagne ki shikayat hone par iske phalo ko khane se pyaas shant ho jati hain. Jungles mein pahaado mein tracking ke dauraan Shahtoot khane ko mil jaye to usse behtar kuch nahi hoga, Kyonki yeh thakaan door karne mein bhi kargar hain.

5. Cholesterol control karta hain 

Shahtoot ka ras dil ke rogiyo ke liye labhkari hota hain. Har roj subah iska Shahtoot ka juice peene se Dil healthy hota hain. Saath hi Cholesterol ka level bhi  control mein rahta hain.

6. Muhaaso ki samsya door hoti hain. 

Shahtoot ki chhal aur Neem ki chhal ko barabar matra mein koot kar iske lep ko lagane se moohase theek ho jate hain.

7. Blood purify karta hain.

Shahtoot khane se khoon se judi sabhi bimariya door ho jati hain. Shahtoot, Anantmool, Angoor aur Gulab ki pankhoodiyo se bane ras mein Chini mila kar peene se khoon saaf hota hain. 

8. Sujan ki samsya se rahat milti hain. 

Herbal Experts ke anusaar Sharir mein kanhi bhi sujan hone par Shahtoot ke ras mein Shahad mila kar lep karne se sujan mein kafi aaram milta hain.

9. Jalan ki samsya khatm hoti hain. 

Shahtoot ka Juice peene se haat-pair, khas karke talwo mein hone wali jalan se rahat milti hain. Diabetes ke rogiyo ko iske adhpakke phal ko chaba kar khana chahiye.

You Might Also Like :-