Header Ads

Yaddasht badhane ke liye gharelu nuskhe (Home remedies for Brain Memory)

Brain Memory power badhane ke tips Yaddasht kaise badhaye, Brain Memory  power ko kaise badhaye , iske liye kya tips hain aur kya gharelu nuskhe hain, yeh swaal jyadatar logo ke mann mein uthata hain. Jo log bhulane ki bimari se preshan hain ya jinki yaddasht yani ki smaran shakti kamjor hain unhe ghabarane ki koi jaroorat nahi hain. Aaj ki post mein hum aise gharelu nuskhe aur foods ke baare mein janenge jisko khane ke baad aap apni kamjor yaddasht ko sudhaar sakte hain.

Bhoolane ki aadat insaan ke sabse kharab aadto mein se ek hain, Kyonki isse na sirf  khud wo insaan jise bhoolne ki samsya hain, Preshan ho jata hain, balki usse jude log bhi kai baar preshani mein pad jate hain. Bhulane ki samsya lagbhag har umar ke logo mein payi jati hain. Bhoolne ka mukhya karan ekargta (Concentration)  ki kami hain. Adhikatar samsya recall karne mein hoti hain, Kyonki hamare dimaag ko recall karne ke liye jin poshak tatvo ki jaroorat hoti hain, unki hamare sharir mein kami ho jati hain. Isliye un poshak tatvo ki purti ke liye yaha bataye gye nuskhe apnakar koi bhi bhoolne ki aadat se chhutkara pa sakta hain.

Brain Memory badhane ke liye tips, Nuskhe aur Food yeh hain :-

1. Badam :- 9 nag Badam raat ko paani mein bhigo de. Subah chilke utaar kar baarik pees kar paste bana le. Ab 1 glass doodh garam kare aur usme Badam ka paste ghole. Isme 3 chammach Shahad bhi dale. Doodh jab halka garm ho tab ise piye. Yeh Doodh peene ke baad 2 ghanto tak kuch bhi naa khaye.


2. Coffee :- Jo log subah Coffee peete hain, Ve coffee na peene walo ki tulna mein adhik furti se apna kaam nipta lete hain. Yadi aap dophar mein chust rahna chahte hain to coffee ka sahara le. Researchers ke anusaar Caffeine dimaag ke oon hisso ko activate karta hain, jaha se vyakti ki activeness, mood aur dhyaan control hota hain.

3. Brahmi :- Kamjor yaddasht budhape ki nishaani mana jata hain, Lekin baar-baar bhoolne ki samsya kewal budho ke saath nahi hain, balki jawan logo ke saath bhi hoti hain. Brahmi dimaag ko takat badhane ki mashoor jadi-booti hain. Iska ek chammach ras rojana peena labhdayak hota hain. Iske 7 patte chaba kar khane se yaddasht badhti hain.

4. Rosemary Tel :- Jab bhi natural tariko se yaddasht (smaran shakti) ko badhane ki baat hoti hain , tab Rosemary Tel ka naam sabse pahle aata hain. Is tel ko Dauni (Gul Mehandi) ke patto se nikala jata hain, jisme aushadhiya gun hote hain. Dauni ke patto (Gul Mehandi ke patto) mein brain ki power badhane ke gun hote hain. Is wajah se ise brain tonic bhi kaha jata hain. Iske tel ka upyog sadiyo se yaddasht badhane ke liye kiya jata raha hain. Iski tikhi khusboo ki wajah se log ise khana pakane ke kaam mein bhi istemal karte hain. Iski khusboo ke karan ise sugandh chikitsya mein bhi istemal kiya jata hain. Iski teekhi khusboo aapke dimaag ko uttprerit karti hain, jiski wajah se aapke dimaag ke kaam karne ki capacity badh jati hain.


5. Seb :- Bahut kam hi log jante hain ki Seb (Apple) mein paya jane wala Pectin special kism ka Fiber hota hain. Yeh Immune Supportive Proteins ke level ko boost karta hain. Isliye din bhar mein ek seb khana aapko kai saari bimariyo se bacha sakta hain. Roj ek seb khane se yaddasht badhti hain.


6. Alsi ka tel :- Alsi ke tel mein bhi Omega-3 Fatty Acid bharpoor matra mein paya jata hain. Alsi ka tel concentration badhata hain, Yaddasht tez karta hain aur sochne-samjhne ki shakti ko badhata hain.

7. Akhrot :- Akhrot mein Anti-Oxidants hote hain aur din bhar mein kam se kam 7 Akhrot khane se bimariya hamesha ke liye door rahti hain. Saath hi cholesterol bhi control mein rahta hain. Akhrot smaran shakti badhane mein kargar hain. 20 Gram Akhrot aur 10 Gram Kismish mila kar khane se Yaddasht badhti hain.

8. Hari Chaay (Green Tea) :- Hari chaaye ek healthy drink hain. Scientist ko mile results ke anusar Green Tea dimaag ke liye faydemand hain. Scientists  ne isme aise chemical  tatv paye  jo Brain ke cells ke production, Memory mein sudhaar ke saath-saath seekhne ki capacity ko prabhavit karte hain.

9. DalChini :- Dalchini ka tel bhi yaddasth badhane mein kafi asardar hota hain. Yeh tel Cholesterol ko kam karta hain, Jiski wajah se aapka dimaag tezi ke saath kaam karta hain. Yeh dimaag ko thandak pahuchata hain. Tanaav ko kam karke dimaag ko tez banata hain.


10. Machhali (Fish) :- Machhali ko dimaag ke liye poshak aahaar mana jata hain. Isme Omega-3 Fatty Acid adhik matra mein paya jata hain. Omega-3 Fatty Acid dimaag ke liye bahut hi jaroori hain. Machhali khane se dimaag tez hota hain aur yaadasht badhti hain. Machhali ka tel bhi brain tonic ki tarah kaam karta hain. Yeh tel natural tarike se aapki smaran shakti ko kamjor hone se rokta hain. Saath hi ekargta, budhhimata aur tark karne ki capacity ko badhata hain.