Header Ads

Healthy Liver ke liye jaroor khaye yeh cheeze.

Healthy liver ke liye jaroor khaye yeh cheeze.
Healthy Liver ke liye kya khana chahiye? Healthy Liver ke liye good food kaun se hain? Acche Liver ke liye kya khaye? Agar aap bhi in swaalo ke jawaab janna chahte hain yeh article jaroor padhe.

Liver hamare body ka store house hain, Jaha Iron, Vitamins aur Minerals jama hote hain. Sharir Ke metabolism mein iska ahem role hain. Yeh Bile Juice banata hain, Jisse khana pachane mein help milti hain. Lekin hum apni busy lifestyle ke chalte is par dhyaan nahi dete hain aur yeh kharab ho jata hain. Aaj hum aapko kuch aise food batayenge jinhe apni diet mein shamil karke aap apne Liver ko healthy rakh sakte hain.

Apple :- Rojana ek seb khane se liver healthy rahta hain.

Green Tea :- Isme Anti-oxidant hota hain jo Liver se free radicals ko bahar nikaalta hain aur gandagi ko saaf karta hain.

Olive Oil :- Jaitoon ka tel, jab sahi quantity mein istemal kiya jata hain toh yeh liver ke liye ekdum sahi lipid base deta hain. Isse gandagi ka load kam hota hain, jisse liver ka kaam lamba aur asaan ho jata hain.

Mosambi :- Isme Vitamin C jyada hota hain jo liver ko damage hone se bachata hain. Saath hi liver mein Carcinogens ko ikattha hone se bhi rokta hain.

Broccoli :- Isme Glucosinolates hote hain jo liver mein enzyme ko paida karte hain, Is enzyme se liver ke ander ki saari gandagi bahar nikal jati hain.

Lahsun :- Lahsun mein kafi poshan hota hain, Jo liver ko saaf karne mein madad karta hain. Yeh liver mein enzyme banata hain, Jisse veh paushtik tatvo ko grahan kar sake aur gande padartho ko bahar nikaal sake.

Saabut Anaaz :- Isme Vitamin B-Complex acchi matra mein paya jata hain jo ki fat ko balance karne ka kaam karta hain. Brown Rice, Multi-Grain wala Atta aur Soya Atta Liver ke liye bahut hi acche hote hain.

Hari Pattedar sabziya :- Yeh liver se zehreele tatvo ko bahar nikaalne mein kafi helpful saabit hoti hain. Inme mauzood chlorophyll tatv liver mein dangerous chemicals ke asar ko kam karta hain. Sabziya jaise Karela, Palak, patta Gobhi aadi pitt sanshleshan ke liye kafi faydemand hain.

Avocado :- Isme mauzood Glutathione compound ke saath Mono-Saturated Fat hota hain, Jo liver ki safaai ke saath Cells aur tissues ko naya banane mein madad karta hain. Ise hamesha lene se Bile mein sudhaar aata hain, Jisse liver swasthya rahta hain.

Jad wali sabziya :- Jad wali sabziyo mein Flavonoids hota hain. Chukandar, Gajar, Aaloo aadi Liver ke cells ki repair karte hain, jisse liver theek se kaam kar sake.