Header Ads

Pudine wali Chai peene ke fayde. (Benefits of Mint Tea in Hindi/Urdu.)

Pudine ki chai peene ke fayde.
Pudine wali Chai peene ke fayde. Benefits of Mint Tea in Hindi/Urdu.

Garmi ke mausam mein aapke sharir ka khastaur par khyaal rakhna padta hain. Is mausam mein bimariyo ka khatra zyada rahta hain. Garmi ke mausam mein zara si laparavaahi ki toh yeh aapke liye bhaari pad sakti hain.

Garmi ke mausam mein Pet se related problems zyada hoti hain. In problems se nijaat dilane ki sabse acchi cheez hain toh veh hain Pudina. Aam taur par pudine ka istemal taste badhane ke liye aur chutney ke roop mein kiya jata hain. Lekin yeh baat bahut kam log hi jante hain ki Pudine mein kai aushdhiya gun bhi mauzood hote hain. Saath hi yeh mouth-Freshener ka kaam bhi karta hain. Aise gun paaye jate hain jo Garmi ko asaani se jhel sakta hain. Is mausam in Pudina kisi Jadi booti se kam nahi hain.

Pudine mein bharpoor matra mein Calorie, Protein, Potassium, Thiamine, Calcium, Niacin, Riboflavin, Iron, Vitamin A, B, C, D, aur E paya jata hain jo sehat ke liye bahut hi faydemand hain.

Aapne Pudine ko chutney, Chhach, Dahi, Kacche aam ke saath mila kar khoob khaya hoga. Lekin aapne iski bani Chaay kabhi pee hain. Ji haan iski bani chai peene ke fayde jankar aap soch nahi payenge ki sach mein yeh itni chamatkaari hain. Janiye Pudine ki Chai peene ke kya fayde hote hain? Benefits of Pudina Tea in Hindi/Urdu.

• Agar aapko Pimples ki problems hain toh Usme bhi chai kaam aa sakti hain, Kyonki isme Menthol hota hain jo thandak deta hain, Isse aapki skin soft ho jati hain. Saath hi pimples se bhi nijaat mil jata hain.

• Agar garmiyo mein loo se bachna chahte hain toh iski chutney khaye, saath hi chutney ke saath pyaaz bhi khaye. Isse aapko kabhi loo nahi lagegi. Iska sewan rojana kare.

• Agar aapko garmiyo mein Bus, train ya bahar jaane se chakkar, Michli aati hain toh iske liye ghar se nikalne se pahle ek cup Pudine ki chai pee le. Aapko is samsya se nahi gujarna padega.

• Agar aapke pet se related problems hain jaise ki pet mein gas, Acidity aadi samsya hain, toh aap pudine ke chai sewan kar sakte hain. Iske liye bhojan karne ke baad ek cup pudina chai peena chahiye.

• Agar aapko gale mein kharaash ho rahi ho toh Namak ke paani ke saath pudine ka ras ko mila kar kulla kare, isse aapko fayda hoga.

• Pudine ki chai ka sewan karne se baalo mein bhi shining aati hain, baal majboot bante hain. Iski chai mein aise gun paye jate hain. Jiski wajah se yeh baalo ke liye bhi faydemand hain.

• Agar aapko pachan se sambandhi samsya ho rahi hain toh Pudine ki chai kafi madadgar saabit ho sakti hain. Iska sewan karne se dard khatm hone ke saath-saath aapne jo khana khaya hain usay pachane mein madad karta hain.

• Agar aapki skin mein jalan ho rahi hain toh yeh dawaa ke roop mein bhi kaam kar sakti hain. Saath hi yeh chakte, Jalan, keede kaatne, khujali aur tavcha mein jalan jaisi skin sambandhi samsyaon ko theek kar sakti hain.

Pudina chai banane ki vidhi (Recipe) :-

Ek glass paani mein 8-10 pudine ki pattiya, thodi si kali mirch aur thoda sa kala namak daal kar kam se kam 7 minutes tak ubaale aur phir ise chhan le. Phir ise piye.