Header Ads

Pet ke keede khatm karne ke gharelu upay aur nuskhe.

Pet ke keede khatm karne ke gharelu upay aur nuskhe. Home remedies for Stomach Worms in Hindi/Urdu.
Pet mein keede pad jaye to bahut hi dard hota hain. Yeh problem jyadatar baccho mein dekhi jati hain. Yeh keede lagbhag 20 tarah ke hote hain, Jo aanto mein zakhm paida kar sakte hain. Iski wajah se mareez ko bechaini, pet mein gas banna, heart beat ka tez hona, badhazmi, pet mein dard, bukhaar jaisi kai tarah ki problems ho jati hain. Jis wajah se mareez ko khana khane ka mann nahi karta hain aur usay chakkar bhi aate hain. Gandgi ki wajah se pet mein keede ho jate hain. Ashuddh aur khula bhojan karne wale logo mein yeh problem zyada hoti hain. Gharelu ilaj aur nuskhe ke jariye pet ke keedo ko khatm kiya ja sakta hain.

Pet ke keede khatm karne ke asardar gharelu nuskhe :- 


Anar ke chhilke :- Baccho aur bado dono ko agar pet mein keede ho jaye to yeh bahut hi kargar ilaj hain. Anar ke chhilko ko sukha kar iska powder bana le. Yeh powder din mein 3 baar ek-ek chammach lijiye. Kuch dino tak isko khane se pet ke keede puri tarah se mar jate hain.

► Tulsi ke patte :- Tulsi mein Anti-Bacterial gun paye jate hain, Kisi bhi tarah ke infection ka ilaj karne ke liye iska istemal aap kar sakte hain. Stomach worms hone par Tulsi ke patto ka ras din mein 1 chammach 2 baar peene se pet ke keede mar kar potty ke saath bahar nikal jate hain. Iska sewan karne se aant puri tarah se saaf ho jati hain aur pet mein kabz aur gas ki problem bhi door hoti hain.

Ajwain :- Ajwain ka istemal karne se pet ke keede mar jate hain. Iske liye Ajwain ka churan aadha gram aur utna hi Gud mein goli bana kar din mein 3 baar isko mareez ko khilaye. Ajwain mein Anti-Bacterial gun paye jate hain jo keedo ko maar deta hain. Ajwain ka istemal 2-3 din karne se pet ke keede puri tarah khatm ho jate hain.

Kacche Aam ki guthali :- Baccho ya bado ki aant mein keede pad gye ho to Kacche aam ki guthali ka istemal karne se keede potty ke raaste bahar nikal jate hain. Iske liye kacche aam ki guthali ka churan dahi ya paani ke saath subah-shaam lena chahiye. Iske regular istemal se kuch hi dino mein aant ke keede bahar nikal jayenge.

 Kala Namak :- Chutaki bhar Kala Namak aur Aadha gram Ajwain churan mila le. Is churan ko raat ke waqt rojana garm paani ke saath lene se pet ke keede nikal jate hain. Agar bado ko yeh problem hain to Kala namak aur Ajwain dono ko barabar matraa mein mila kar subah-shaam ise  lene se pet ke keede mar jayenge.

Lahsun ki chutney :- Pet ki problem door karne ke liye aur Aanto ko puri tarah se saaf karne ke liye lahsun ka istemal kare. Agar bade ya bacche kisi ko bhi pet ke keede preshan kar rahe hain to usay Lahsun ki chutney khilaye. Lahsun ki chutney bana kar usme thoda sa sendha namak mila kar subah shaam khane se pet ke keede door ho jayenge.

Neem ke patte :- Neem ke patto ko khane se pet ki har kism ki problem door hoti hain. Neem ke patto mein Antibiotic gun hote hain jo pet ke keedo ko khatm kar dete hain. Pet ke keedo ko khatm karne ke liye Neem ke patto ko pees kar usme Shahad mila kar peene se jaldi fayda hota hain aur keede mar jate hain. Subah ke waqt iska sewan karna jyada labhkari hota hain.

Tamatar :- Tamatar ka istemal khane ka taste badhaane ke liye kiya jata hain. Lekin yeh pet ke keedo ko bhi maar sakta hain. Tamatar ko kaat kar usme Sendha Namak aur Kali Mirch powder mila kar khaye. Isko khane se pet ke keede mar jate hain aur mal tyaag ke jariye bahar nikal jate hain.