Header Ads

Pregnancy period mein Machhali ka tel (Fish oil) lene ke fayde.

Pregnancy period mein Fish oil lene ke fayde (Benefits of Fish oil in Pregnancy in Hindi/Urdu.)
Fish oil bahut hi faydemand mana jata hain. Yeh sirf ladies ke liye nahi balki mardo ke liye bhi faydemand hota hain. Machhali ke tel se kai bimariyo ko door kiya ja sakta hain. Pregnant woman ke liye bhi yeh tel kafi faydemand hota hain. Hone wale bacche ke dimaag ko tez karne ke liye is tel ka istemal kiya jata hain.

Fish oil mein bharpoor matra mein Omega-3 Fatty Acid paya jata hain. Jo Depression, tension, udaasipan, Mentally tiredness, chinta aadi maansik rogo ko pregnancy period mein door karta hain.

Macchli ka tel hone wale bacche aur pregnant lady ki immunity system ke liye bhi behtar poorak ahaar hain. Omega-3 maa se bacche mein placenta ke jariye se jata hain. Jo bacche ke immune system ko majboot banata hain aur baad mein bacche ko eczema se bachata hain. Aaiye jante hain Pregnancy mein Macchli ka tel lene se kya fayde hote hain. Benefits of Fish oil in Pregnancy period.

Garbhvati mahila ke liye Machhali ke tel ke fayde :-


• Sharir aur Haddiyo ko strong banaye :- Jo pregnant woman theek se kha pee nahi paati hain, Unke liye fish oil ka sewan karna bahut hi jaroori hain. Macchali ka tel sirf khane ke liye hi nahi accha hain, balki pregnant lady aur baby ki bhi is tel se maalish karne se sharir aur haddiyo mein majbooti aati hain. Auratein pregnancy ke dauran Omega-3 ki extra khuraak leti hain, unke bacche ki skin dry nahi hoti hain.


• Blood circulation sahi kare :- Machhali ke tel ko khane se jaha healthy baby ko janm diya ja sakta hain. Vahi yeh tel pregnant woman ko diet ke roop mein diya ja sakta hain. Itna hi nahi isse oxygen aur poshak tatvo ke beech blood circulation ko bhi positive roop se asar karta hain.


• Physically development :- Pregnancy period mein fish oil ka sewan karne se garbh mein pal rahe bacche ke dimaag aur aankho ke development sudhaar hota hain. Is tel mein D.H.A. ki mauzoodagi ki wajah hone wale bacche ke sharirik vikas mein madad milti hain.


• Dimaag ka sahi vikas :- Macchli ke tel mein Omega-3 Fatty acid paya jata hain, Jisse bacche ke dimaag ka sahi tarah se vikas hota hain. Aise mein baccha aam baccho se zyada tez hota hain.


• Defect ki sambhavna khatm kare :- Research se yeh pata chala hain ki machhli ke tel ka istemal karne se garbh mein pal rahe bacche ka dimaag ka vikas aur haath aur aankh jaise body parts ko kafi majbooti milti hain. Itna hi nahi bacche ke blood mein omega-3 fatty acid ki sahi matra hoti hain , Jisse bacche mein kisi bhi tarah ke defect hone ki sambhavna khatm ho jati hain.


• Healthy bacche ka janm :- Macchali ka tel ko khane se hone wale bacche ka vikas sahi tarah se hota hain, Itna hi nahi is tel ke sewan se ek sehatmand aur healthy bacche ko janm dene ki sambhavnaaye badh jati hain.