Header Ads

Machhar door bhagane ke gharelu upay ( Home Remedies for Keep Moskito far away)

MosquitoGarmiyo mein log aksar garmi se jyada maccharo se preshan rahte hain. Aaj ki post mein Machhar ko door bhagane ke liye kuch tips aur gharelu upay ke baare mein charcha karenge. Log machhar ki wajah se kahi bhi sukoon se nahi baith pate hain aur raat ko jee bhar ke so bhi nahi pate hain. In bade dank wale machharo se kai bimariya bhi kafi tezi ke saath phailti hain. Baarish ke mausam mein to yeh aur aatank paida karte hain. Kai baar aisa hota hain ki maccharo par Market mein mauzood macchar bhagane wali dawaaye bhi kargar nahi sabit hoti hain. Aise mein machharo se nipatane ke liye samanya gharelu upay aur nuskhe in par safal honge. Aaiye jane machar bhagane wale yeh asardar gharelu nuskhe (Tips for Moskitos / Mosquitoes far away from body or house with the help of home remedies) 



Laung ka tel :- Laung ka upyog khansi aur jukam mein karte to suna hoga Lekin kya aapko maloom hain ki laung machhar bhagane ke liye bhi sahayak hain. Laung ke tel ko Nariyal ke tel mein mila kar lagane se machhar nahi katate hain. 


Soyabean ka tel ;- Soybean oil ko khane ke liye bahut hi tezi ke saath istemal kiya jata hain, Lekin kya aapko pata hain hain isse machar bhi door bhagte hain. Soyabean ka tel lagane se machhar bilkul bhi nahi kat te hain. Yeh Tel bazaar mein kafi asaani ke saath Soyabean Oil ke naam se mil jata hain. 


Nilgiri ka tel :- Nilgiri ka tel body par lagane se oos jagah par machhar nahi baithate hain. Iske alawa eucalyptus (Nilgiri) ki pattiyo ko jalane se bhi macchar bhagte hain.


Neem ka tel :- Neem ke baare mein kaha jata hain ki Neem kai rogo ki nashak hain, Lekin bahut kam logo ko pata hoga ki Neem ka tel machchhar bhagane ke liye kafi asardar hain. Is baat ki pushti American Research of Council ne apni research mein ki hain. Neem ka tel lagane se machhar katna to door najdik bhi nahi aate hain.


Gende ka ped :- Gende ke phool do rang narangi aur peele rang ke hote hain halaki inki kai varieties hain. Gende ke ped ghar mein lagane se inki khusboo se machhar nahi aate hain.


Kali Mirch ka tel :- Kali mirch ka roj-marra ki zindagi ko sahaz banane mein kafi yogdan hain. Iska tel bhi kafi faydemand hota hain. Kali Mirch ka tel lagane se machhar paas tak nahi aate hain.


Lahsun ki kaliya :- Sabziyo ka swaad badhane ke liye kargar Lahsun machchhar ko bhi badi tezi ke saath bhagata hain. Lahsun ki kalian chabane se macchar nahi kat-te hain.


Ajwain ka powder ;- Ajwain bhi macchar bhagane ke liye ek asardayak nuskha hain. Ajwain ko khoob maheen sa pees le. Iske baad iske powder ko oon jagaho par chhidak de , jaha macchar jyada ho. Aap thodi der baad dekhenge ki waha se macchar gayab ho gye hain. Ek baar powder chhidakne par waha kafi der tak machhar vapis nahi aate hain.