Header Ads

Kali gardan aur Kali Kuhani ko Gora karne ke gharelu nuskhe aur Upay.

Kali Gardan aur Kali Kuhani ko gora karne ke upay aur gharelu nuskhe. Home remedies  & tips for Black Neck, Black Elbows to getting white.
Jyadatar log apne chehre ko gora karne ke liye kai tarah ki cream aur gharelu nukshe ko apnate hain, Lekin isi chakkar mein veh apni gardan aur kuhani ko bhool hi jate hain. Jiski wajah se gardan, kandhe aur khuhani kali dikhayi dene lagti hain. 

Suraj ki roshini, pollution, badhti age aur gandagi ki wajah se gardan kaali padne lagti hain. Isliye aaj hum aapko kuch aise gharelu nuskhe aur upay batane ja rahe hain, Jinka istemal karke aap apni kali gardan, kuhani aadi ko gora bana sakte hain. 

Black Neck, Black Elbows ko White banane ke asaan tips janiye. Kali Gardan aur Kali Koohani ko gora banane ke liye jaroor apnayiye yeh gharelu upay aur nuskhe. (Home Remedies for Black Neck & Elbow to become Whiter in Hindi/Urdu.) 

Kali Gardan aur Elbow ko gora karne ke gharelu upay aur tips :- 

• Kheera :- Garmi ke dino mein burn ho rahi skin aur garmi se rahat dilaane ke liye kheera bahut hi faydemand hota hain. Kheera skin ko repair karke aur dead cells ko hatane ke liye gharelu ilaj mein se sabse accha tarika hain. Yeh kali gardan aur kali koohni ko saaf karta hain aur usme chamak laane ka bhi kaam bahut hi acchi tarah se karta hain. 

• Jayi :- Jayi gardan aur kohni ki skin aur health dono ke liye kafi faydemand hota hain. Jai ke saath doodh mila kar aap ek pack bana sakte hain jo asaani se aur asardar tarike se gardan aur kohni ke kaale dhabbe ko door kar sakta hain. 

• Nimbu ka ras :- Nimbu ke ras mein Citrus Acid hota hain, Jiski wajah se hum usay natural bleaching agent kahte hain. Nimbu Vitamin C ka sabse accha source hain. Hum jante hain ki skin mein nikhar laane ke liye Vitamin C aur E sabse acche hote hain. Gardan aur Kuhani ke kaale hisse par nimbu ka ras lagane se kafi tak veh gora hone lagta hain. 

• Papita aur Strawberry :- Papita aur Strawberry gardan ki skin ke upchar ke liye acche fruits saabit ho sakte hain. Strawberry mein dead cells ko hatane ke saare gun hote hain aur papite mein Antioxidant enzyme hote hain, jo scrub ke roop mein accha asar dikha sakte hain. Neck aur elbow par pade kisi bhi nishaan aur kaale dhabbe ko halka karne ke liye yeh bahut hi accha upay hain. 

• Santre ka chhilka :- Santra Vitamin C se bharpoor  hota hain. Santre ke chhilke ko gardan aur kuhani se kaale daag mitane aur unme nikhaar laane ke liye istemal kar sakte hain. 

• Kela :- Kela health ke liye bahut hi faydemand hota hain. Kele aur jaitoon ka mishran aapko chamakti  skin deta hain, Kyonki dono mein Antioxidant gun bahut zyada matra mein hote hain. Iske niyamit istemal se kaali gardan aur kaali kohni ko gora kiya ja sakta hain. 

• Besan :- Besan ka istemal aap natural scrub ke roop mein kar sakte hain. Besan sust aur bezan padi skin mein jaan daal kar usko freshness ka ahsaas dilata hain aur dead skin ko hatane ka kaam natural tarike se karta hain. Kaali kuhani aur kali gardan ko besan ragadne se skin mein glow aane lagta hain. 

• Aaloo ka ras :- Aaloo natural roop se skin ko nikhaarne aur usme safedi laane ke liye jana jata hain. Aaloo mein Catecholase enzyme hota hain jo skin ko thandak dekar jald se jald dhabbo se rahat dilata hain.