Header Ads

Jyada Papad khane ke nuksan (Side-Effects).

Papad khane se sehat ko kya nuksan hote hain? Side-Effects of Papad in Hindi/Urdu.
Indian food ka important hissa hain Papad. Jab hum vivah-shadiyon ya kisi function mein jate hain to hame waha khane ke saath Papad jaroor khane ko milte hain. Yani ki yun kahe ki Papad khana hamare tradition ka ek aham hissa ban gya hain. Hum logo ko kurkure, patle papad unki taste ki wajah se bahut pasand aate hain. Lekin kya aapko maloom hain ki jyada matraa mein Papad khana bhi sehat ke liye nuksandeh hota hain. Ji haan jaroorat se jyada Papad khana bhi accha nahi mana jata hain.

Aaiye jante hain Papad khane ke kya nuksan hote hain? Side-effects of eating Papad in Hindi/Urdu. Haan Papad ke naam se mujhe ek tongue twister ki bhi yaad gayi jo ki aapne bhi suna hoga, Lekin is tongue twister ko lagatar bol pana bahut mushkil hain. Vah tongue twister yeh hain :-

“Kaccha Papad Pakka Papad” itna chota tongue twister hain, Lekin lagatar ise bol pana mushkil bhara kaam hain. Chaliye jante hain Papad jyada kyon nahi chahiye.

Papad khane ke nuksan :-


Kabz hone ki wajah banta hain

Ek taraf jaha Papad kurkura aur patla hone ki wajah se khane mein bahut hi mazedar lagta hain. Dusri aor ise banane mein aate ka istemal kiya gya hota hain. Isko jyada khane se yeh aanto mein chipak jata hain, jisse aapko kabz aur gas ki problem bhi ho sakti hain.

Acidity ki problem

Ghar ke banaye gye Papad ke mukable bazaaroo yani ki dukaan se khareede gye papad mein Artificial flavour aur spices jyada hote hain. Jiski wajah se pet bhi kharab hota hain aur ise jyada khane se acidity bhi ho jati hain.

Preservative ka jyada istemal hota hain

Papad ko lambe waqt tak fresh banaye rakhne ke liye Papad banane wali factory usme Preservative aadi milati hain. Isme Namak ke saath sodium salt bhi milaya jata hain, Jisse iska swaad badh jata hain. Lekin in salt ki wajah se heart aur kidney ki bimari ke saath High BP ki problem bhi ho jati hain.

Unhealthy situation mein banaye jane ki sambhavna

Jis tarah se papad ko banaya jata hain, vah bhi serious problem hain. Inko nange aur unclean haatho se banaya jata hain aur phir mein khule mein sukhaya jata hain. Jis wajah se inme dhool aur gandagi chali jati hain. Jo ki health ke liye accha nahi hain.

Motapa badhaye

2 Papad mein 1 roti jitni calorie hoti hain. Agar aap calorie nahi badhana chahte hain to khane ke saath Papad na khaye. 13 Gram papad mein 35 se 40 calorie, Sodium 226 Mg aur Carbohydrate 7.8 gram hota hain.

Bhoona hua papad bhi nahi hain sahi

Yeh bhi myth hain ki Bhuna hua papad taley huye papad ke mukable jyada faydemand hota hain. Ek research mein yeh paya gya ki Papad ko agar bhoona bhi jaye toh bhi yeh sehat ke liye nuksandeh saabit ho sakta hain. Isliye bhuna hua papad khana bhi safe nahi hain.